kya kahen aur dil ke bare mein
kyā kaheñ aur dil ke baare meñ
ham mulāzim haiñ is idāre meñ
ik nazar mere dekh lene se
kyā kamī aa ga.ī nazāre meñ
bas ki ḳhud par yaqīn hai apnā
kyā kaheñ aur ḳhudā ke baare meñ
raushnī muntaqil huī kaise
is sitāre se us sitāre meñ
kyā haqīqat hai kār-e-duniyā kī
kyā munāfā hai is ḳhasāre meñ
kya kahen aur dil ke bare mein
hum mulazim hain is idare mein
ek nazar mere dekh lene se
kya kami aa gai nazare mein
bas ki KHud par yaqin hai apna
kya kahen aur KHuda ke bare mein
raushni muntaqil hui kaise
is sitare se us sitare mein
kya haqiqat hai kar-e-duniya ki
kya munafa hai is KHasare mein
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 87)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.