Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya kisi lamha-e-rafta ne sataya hai tujhe

Sahar Ansari

kya kisi lamha-e-rafta ne sataya hai tujhe

Sahar Ansari

MORE BYSahar Ansari

    kyā kisī lamha-e-rafta ne satāyā hai tujhe

    in dinoñ maiñ ne pareshān paayā hai tujhe

    bahr-e-shādābī-e-jazbāt ai mauj-e-ravāñ

    kaun is dasht-e-balā-ḳhez meñ laayā hai tujhe

    terī tanvīr salāmat magar ai mahr-e-mubīñ

    ghar dīvār pe yuuñ kis ne sajāyā hai tujhe

    shikva-e-talḳhi-e-hālāt bajā hai lekin

    is pe rotā huuñ ki maiñ ne bhī rulāyā hai tujhe

    gaah pahnā hai tujhe ḳhil.at-e-zarrīñ tarah

    gaah paivand ke mānind chhupāyā hai tujhe

    kabhī mujh se rahī misl-e-sabā dāman-kash

    aur kabhī apne bistar pe sulāyā hai tujhe

    merī āshufta-mizājī meñ nahīñ koī kalām

    ruuTh ke saare zamāne se manāyā hai tujhe

    kya kisi lamha-e-rafta ne sataya hai tujhe

    in dinon main ne pareshan sa paya hai tujhe

    bahr-e-shadabi-e-jazbaat ki ai mauj-e-rawan

    kaun is dasht-e-bala-KHez mein laya hai tujhe

    teri tanwir salamat magar ai mahr-e-mubin

    ghar ki diwar pe yun kis ne sajaya hai tujhe

    shikwa-e-talKHi-e-haalat baja hai lekin

    is pe rota hun ki main ne bhi rulaya hai tujhe

    gah pahna hai tujhe KHilat-e-zarrin ki tarah

    gah paiwand ke manind chhupaya hai tujhe

    tu kabhi mujh se rahi misl-e-saba daman-kash

    aur kabhi apne hi bistar pe sulaya hai tujhe

    meri aashufta-mizaji mein nahin koi kalam

    ruTh ke sare zamane se manaya hai tujhe

    Source :
    • Book : namuud (Pg. 62)
    • Author : sahar ansari
    • Publication : welcome book port urdu bazar karachi (2006)
    • Edition : 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now