Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kyun falak-ashna kiya tha mujhe

Nusrat Gwaliari

kyun falak-ashna kiya tha mujhe

Nusrat Gwaliari

kyuuñ falak-āshnā kiyā thā mujhe

jab zamīñ par pheñknā thā mujhe

ban gayā maiñ kitāb qissoñ

us ne ik lafz meñ kahā thā mujhe

ab nagīna hai kal yahī patthar

rāste meñ paḌā milā thā mujhe

us aaseb mujh pe barsegā

hādsa ye bhī jhelnā thā mujhe

maiñ naqīb-e-sabā thā phūloñ ne

pattharoñ tarah sunā thā mujhe

maiñ sadā sāhiloñ kyā suntā

ruḳh havāoñ moḌnā thā mujhe

maiñ bahut kaam thā us ke liye

aur zaa.e vo kar rahā thā mujhe

ab vo ḳhud ko talāsh kartā hai

jo kabhī mujh meñ DhūñDhtā thā mujhe

bachcha majbūriyoñ ko kyā jaane

ik khilaunā ḳharīdnā thā mujhe

kyun falak-ashna kiya tha mujhe

jab zamin par hi phenkna tha mujhe

ban gaya main kitab qisson ki

us ne ek lafz mein kaha tha mujhe

ab nagina hai kal yahi patthar

raste mein paDa mila tha mujhe

us ka aaseb mujh pe barsega

hadsa ye bhi jhelna tha mujhe

main naqib-e-saba tha phulon ne

pattharon ki tarah suna tha mujhe

main sada sahilon ki kya sunta

ruKH hawaon ka moDna tha mujhe

main bahut kaam ka tha us ke liye

aur zae wo kar raha tha mujhe

ab wo KHud ko talash karta hai

jo kabhi mujh mein DhunDhta tha mujhe

bachcha majburiyon ko kya jaane

ek khilauna KHaridna tha mujhe

Source :
  • Book : Sab Khwab (Pg. 23)
  • Author : Nusrat Gwaliory
  • Publication : Nusrat Gwaliory, Tahzeeb Urdu 5071, Kucha Rahman Pandit, Chandni Chouck, Delhi (1998)
  • Edition : 1998
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now