kyun KHafa tu hai kya kaha maine
kyuuñ ḳhafā tū hai kyā kahā maiñ ne
mar kahā tū ne marhabā maiñ ne
kyuuñ surāhī-e-mai ko de paTkā
tū ne toḌā yā bevafā maiñ ne
nā-tavānī meñ ye tavānā.ī
dil ko tujh se uThā diyā maiñ ne
de ke ye tujh ko ye liyā ki diyā
gauhar-e-be-bahā liyā maiñ ne
kyuuñ ḳhum-e-mai ko mohtasib toḌā
kyā kiyā maiñ ne kyā kiyā maiñ ne
kyuuñ na ruk ruk ke aa.e dam merā
tujh ko dekhā rukā rukā maiñ ne
gul hazāroñ meñ sham.a-e-aish 'ehsāñ'
jaise us gul ko dil diyā maiñ ne
kyun KHafa tu hai kya kaha main ne
mar kaha tu ne marhaba main ne
kyun surahi-e-mai ko de paTka
tu ne toDa ya bewafa main ne
na-tawani mein ye tawanai
dil ko tujh se uTha diya main ne
de ke ye tujh ko ye liya ki diya
gauhar-e-be-baha liya main ne
kyun KHum-e-mai ko mohtasib toDa
kya kiya main ne kya kiya main ne
kyun na ruk ruk ke aae dam mera
tujh ko dekha ruka ruka main ne
gul hazaron mein shama-e-aish 'ehsan'
jaise us gul ko dil diya main ne
- Kulliyat-e-Ehsan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.