lab pe ek nam hamesha ki tarah
lab pe ik naam hamesha kī tarah
aur kyā kaam hamesha kī tarah
din agar koī guzāre bhī to kyā
phir vahī shaam hamesha kī tarah
dekh kar un ko mire chehre kā rañg
bar-sar-e-ām hamesha kī tarah
kūcha-gardoñ pe hī pābandī hai
jalva-e-bām hamesha kī tarah
dil vahī shahr-e-tamannā ba-kanār
aur nākām hamesha kī tarah
haal kyā apnā batā.e 'mahshar'
vaqf-e-ālām hamesha kī tarah
lab pe ek nam hamesha ki tarah
aur kya kaam hamesha ki tarah
din agar koi guzare bhi to kya
phir wahi sham hamesha ki tarah
dekh kar un ko mere chehre ka rang
bar-sar-e-am hamesha ki tarah
kucha-gardon pe hi pabandi hai
jalwa-e-baam hamesha ki tarah
dil wahi shahr-e-tamanna ba-kanar
aur nakaam hamesha ki tarah
haal kya apna batae 'mahshar'
waqf-e-alam hamesha ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.