Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lafz ki buhtat itni naqd o fan mein aa gai

Kavish Badri

lafz ki buhtat itni naqd o fan mein aa gai

Kavish Badri

lafz buhtāt itnī naqd o fan meñ aa ga.ī

masḳh ho kar sūrat-e-ma.anī suḳhan meñ aa ga.ī

nisf āñkheñ khol kar us ne dekhā thā mujhe

chalne phirne sakat maflūj tan meñ aa ga.ī

ab na vo ahbāb zinda haiñ na rasm-ul-ḳhat vahāñ

ruuTh kar urdu to dehlī se dakan meñ aa ga.ī

us ke chehre mujhe mardāna-pan achchhā lagā

chāshnī namkīn saare badan meñ aa ga.ī

kyuuñ saperā-pan tire nainoñ meñ paidā ho gayā

is qadar shoḳhī kidhar se bāñkpan meñ aa ga.ī

ek bosa hoñT par phailā tabassum ban gayā

jo harārat thī mirī us ke badan meñ aa ga.ī

ek vahshī sinf se ham ne sharāfat siikh

panj-tan lau ġhazal anjuman meñ aa ga.ī

ḳhuld tasvīr 'kāvish' hū-ba-hū kashmīr thī

laash us pairahan se ḳhud kafan meñ aa ga.ī

lafz ki buhtat itni naqd o fan mein aa gai

masKH ho kar surat-e-mani suKHan mein aa gai

nisf aankhen khol kar hi us ne dekha tha mujhe

chalne phirne ki sakat mafluj tan mein aa gai

ab na wo ahbab zinda hain na rasm-ul-KHat wahan

ruTh kar urdu to dehli se dakan mein aa gai

us ke chehre ka mujhe mardana-pan achchha laga

chashni namkin si sare badan mein aa gai

kyun sapera-pan tere nainon mein paida ho gaya

is qadar shoKHi kidhar se bankpan mein aa gai

ek bosa honT par phaila tabassum ban gaya

jo hararat thi meri us ke badan mein aa gai

ek wahshi sinf se hum ne sharafat sikh li

panj-tan ki lau ghazal ki anjuman mein aa gai

KHuld ki taswir 'kawish' hu-ba-hu kashmir thi

lash us ki pairahan se KHud kafan mein aa gai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now