lafz ki kaenat mein gum hun
lafz kī kā.enāt meñ gum huuñ
fikr meñ gum huuñ baat meñ gum huuñ
tum ho kho.e hue zamāne meñ
maiñ ḳhud apnī hī zaat meñ gum huuñ
kyā ajab thā jo maut aa jaatī
ġham to ye hai hayāt meñ gum huuñ
fat.h ke jashn meñ haiñ sab sarshār
maiñ to apnī hī maat meñ gum huuñ
tum ne jin mushkiloñ meñ chhoḌā thā
maiñ unhīñ mushkilāt meñ gum huuñ
zahr khānā mujhe nahīñ aatā
qand meñ aur nabāt meñ gum huuñ
koī aa.e na dekhne mujh ko
maiñ ajab kā.enāt meñ gum huuñ
maiñ huuñ 'māmūn' ik ajab insān
kā.enāt aur zaat meñ gum huuñ
lafz ki kaenat mein gum hun
fikr mein gum hun baat mein gum hun
tum ho khoe hue zamane mein
main KHud apni hi zat mein gum hun
kya ajab tha jo maut aa jati
gham to ye hai hayat mein gum hun
fath ke jashn mein hain sab sarshaar
main to apni hi mat mein gum hun
tum ne jin mushkilon mein chhoDa tha
main unhin mushkilat mein gum hun
zahr khana mujhe nahin aata
qand mein aur nabaat mein gum hun
koi aae na dekhne mujh ko
main ajab kaenat mein gum hun
main hun 'mamun' ek ajab insan
kaenat aur zat mein gum hun
- Book : Sanson Ke Paar (Pg. 70)
- Author : Khalil Mamoon
- Publication : Educational Publishing House, Delhi (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.