lahu mein tairte phirte malal se kuchh hain
lahū meñ tairte phirte malāl se kuchh haiñ
kabhī suno to diloñ meñ savāl se kuchh haiñ
maiñ ḳhud bhī Duub rahā huuñ har ik sitāre meñ
ki ye charāġh mire hasb-e-hāl se kuchh haiñ
ġham-e-firāq se ik pal nazar nahīñ haTtī
is aa.ine meñ tire ḳhadd-o-ḳhāl se kuchh haiñ
ik aur mauj ki ai sail-e-ishtibāh abhī
hamārī kisht-e-yaqīñ meñ ḳhayāl se kuchh haiñ
tire firāq kī sadiyāñ tire visāl ke pal
shumār-e-umr meñ ye maah o saal se kuchh haiñ
lahu mein tairte phirte malal se kuchh hain
kabhi suno to dilon mein sawal se kuchh hain
main KHud bhi Dub raha hun har ek sitare mein
ki ye charagh mere hasb-e-haal se kuchh hain
gham-e-firaq se ek pal nazar nahin haTti
is aaine mein tere KHadd-o-KHal se kuchh hain
ek aur mauj ki ai sail-e-ishtibah abhi
hamari kisht-e-yaqin mein KHayal se kuchh hain
tere firaq ki sadiyan tere visal ke pal
shumar-e-umr mein ye mah o sal se kuchh hain
- Book : Fishaar (Pg. 61)
- Author : Amjad Islam Amjad
- Publication : Jahangir Book Depot (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.