Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

le chala jaan meri ruTh ke jaana tera

Dagh Dehlvi

le chala jaan meri ruTh ke jaana tera

Dagh Dehlvi

MORE BYDagh Dehlvi

    le chalā jaan mirī ruuTh ke jaanā terā

    aise aane se to behtar thā na aanā terā

    apne dil ko bhī batā.ūñ na Thikānā terā

    sab ne jaanā jo patā ek ne jaanā terā

    jo ai zulf pareshān rahā kartī hai

    kis ke ujḌe hue dil meñ hai Thikānā terā

    aarzū na rahī sub.h-e-vatan mujh ko

    shām-e-ġhurbat hai ajab vaqt suhānā terā

    ye samajh kar tujhe ai maut lagā rakkhā hai

    kaam aatā hai bure vaqt meñ aanā terā

    ai dil-e-shefta meñ aag lagāne vaale

    rañg laayā hai ye lākhe jamānā terā

    ḳhudā to nahīñ ai nāseh-e-nādāñ merā

    kyā ḳhatā jo kahā maiñ ne na maanā terā

    ranj kyā vasl-e-adū jo ta.alluq nahīñ

    mujh ko vallāh hañsātā hai rulānā terā

    ka.aba o dair meñ chashm-o-dil-e-āshiq meñ

    inhīñ do-chār gharoñ meñ hai Thikānā terā

    tark-e-ādat se mujhe niind nahīñ aane

    kahīñ nīchā na ho ai gor sirhānā terā

    maiñ jo kahtā huuñ uThā.e haiñ bahut ranj-e-firāq

    vo ye kahte haiñ baḌā dil hai tavānā terā

    bazm-e-dushman se tujhe kaun uThā saktā hai

    ik qayāmat uThānā hai uThānā terā

    apnī āñkhoñ meñ abhī kauñd ga.ī bijlī

    ham na samjhe ki ye aanā hai ki jaanā terā

    yuuñ to kyā aa.egā fart-e-nazākat se yahāñ

    saḳht dushvār hai dhoke meñ bhī aanā terā

    'dāġh' ko yuuñ vo miTāte haiñ ye farmāte haiñ

    badal Daal huā naam purānā terā

    le chala jaan meri ruTh ke jaana tera

    aise aane se to behtar tha na aana tera

    apne dil ko bhi bataun na Thikana tera

    sab ne jaana jo pata ek ne jaana tera

    tu jo ai zulf pareshan raha karti hai

    kis ke ujDe hue dil mein hai Thikana tera

    aarzu hi na rahi subh-e-watan ki mujh ko

    sham-e-ghurbat hai ajab waqt suhana tera

    ye samajh kar tujhe ai maut laga rakkha hai

    kaam aata hai bure waqt mein aana tera

    ai dil-e-shefta mein aag lagane wale

    rang laya hai ye lakhe ka jamana tera

    tu KHuda to nahin ai naseh-e-nadan mera

    kya KHata ki jo kaha main ne na mana tera

    ranj kya wasl-e-adu ka jo talluq hi nahin

    mujh ko wallah hansata hai rulana tera

    kaba o dair mein ya chashm-o-dil-e-ashiq mein

    inhin do-chaar gharon mein hai Thikana tera

    tark-e-adat se mujhe nind nahin aane ki

    kahin nicha na ho ai gor sirhana tera

    main jo kahta hun uThae hain bahut ranj-e-firaq

    wo ye kahte hain baDa dil hai tawana tera

    bazm-e-dushman se tujhe kaun uTha sakta hai

    ek qayamat ka uThana hai uThana tera

    apni aankhon mein abhi kaund gai bijli si

    hum na samjhe ki ye aana hai ki jaana tera

    yun to kya aaega tu fart-e-nazakat se yahan

    saKHt dushwar hai dhoke mein bhi aana tera

    'dagh' ko yun wo miTate hain ye farmate hain

    tu badal Dal hua nam purana tera

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    Abida Parveen

    Abida Parveen

    RECITATIONS

    Javed Naseem

    Javed Naseem,

    Javed Naseem

    Le chala jaan meri rooth kar jaana tera Javed Naseem

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now