le chala phir mujhe dil yar-e-dil-azar ke pas
le chalā phir mujhe dil yār-e-dil-āzār ke paas
ab ke chhoḌ ā.ūñgā zālim ko sitamgār ke paas
maiñ to har har ḳham-e-gesū kī talāshī lūñgā
ki mirā dil hai tire gesū-e-ḳhamdār ke paas
tū to ehsān jatātī huī aatī hai sabā
yuuñ bhī aatā hai koī murġh-e-giraftār ke paas
le chala phir mujhe dil yar-e-dil-azar ke pas
ab ke chhoD aaunga zalim ko sitamgar ke pas
main to har har KHam-e-gesu ki talashi lunga
ki mera dil hai tere gesu-e-KHamdar ke pas
tu to ehsan jatati hui aati hai saba
yun bhi aata hai koi murgh-e-giraftar ke pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.