Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

log sah lete the hans kar kabhi be-zari bhi

Shariq Kaifi

log sah lete the hans kar kabhi be-zari bhi

Shariq Kaifi

log sah lete the hañs kar kabhī be-zārī bhī

ab to mashkūk huī apnī milan-sārī bhī

vaar kuchh ḳhālī ga.e mere to phir aa ga.ī

apne dushman ko duā dene hushyārī bhī

umr bhar kis ne bhalā ġhaur se dekhā thā mujhe

vaqt kam ho to sajā detī hai bīmārī bhī

kis tarah aa.e haiñ is pahlī mulāqāt talak

aur mukammal hai judā hone tayyārī bhī

uub jaatā huuñ zehānat numā.ish se to phir

lutf detā hai ye lahja mujhe bāzārī bhī

umr baḌhtī hai magar ham vahīñ Thahre hue haiñ

Thokareñ khā.īñ to kuchh aa.e samajhdārī bhī

ab jo kirdār mujhe karnā hai mushkil hai bahut

mast hone dikhāvā bhī hai sar bhārī bhī

log sah lete the hans kar kabhi be-zari bhi

ab to mashkuk hui apni milan-sari bhi

war kuchh KHali gae mere to phir aa hi gai

apne dushman ko dua dene ki hushyari bhi

umr bhar kis ne bhala ghaur se dekha tha mujhe

waqt kam ho to saja deti hai bimari bhi

kis tarah aae hain is pahli mulaqat talak

aur mukammal hai juda hone ki tayyari bhi

ub jata hun zehanat ki numaish se to phir

lutf deta hai ye lahja mujhe bazari bhi

umr baDhti hai magar hum wahin Thahre hue hain

Thokaren khain to kuchh aae samajhdari bhi

ab jo kirdar mujhe karna hai mushkil hai bahut

mast hone ka dikhawa bhi hai sar bhaari bhi

RECITATIONS

Shariq Kaifi

Shariq Kaifi,

00:00/00:00
Shariq Kaifi

log sah lete the hans kar kabhi be-zari bhi Shariq Kaifi

Source :
  • Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 61)
  • Author :Shariq Kaifi
  • Publication : Rekhta Publications (2022)
  • Edition : 3rd
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now