Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apni ruswai tere nam ka charcha dekhun

Parveen Shakir

apni ruswai tere nam ka charcha dekhun

Parveen Shakir

MORE BYParveen Shakir

    apnī rusvā.ī tire naam charchā dekhūñ

    ik zarā sher kahūñ aur maiñ kyā kyā dekhūñ

    niiñd aa jaa.e to kyā mahfileñ barpā dekhūñ

    aañkh khul jaa.e to tanhā.ī sahrā dekhūñ

    shaam bhī ho ga.ī dhuñdlā ga.iiñ āñkheñ bhī mirī

    bhūlne vaale maiñ kab tak tirā rastā dekhūñ

    ek ik kar ke mujhe chhoḌ ga.iiñ sab sakhiyāñ

    aaj maiñ ḳhud ko tirī yaad meñ tanhā dekhūñ

    kaash sandal se mirī maañg ujāle aa kar

    itne ġhairoñ meñ vahī haath jo apnā dekhūñ

    mirā kuchh nahīñ lagtā hai magar jān-e-hayāt

    jaane kyuuñ tere liye dil ko dhḌaknā dekhūñ

    band kar ke mirī āñkheñ vo sharārat se hañse

    būjhe jaane maiñ har roz tamāshā dekhūñ

    sab zideñ us maiñ puurī karūñ har baat sunūñ

    ek bachche tarah se use hañstā dekhūñ

    mujh pe chhā jaa.e vo barsāt ḳhushbū tarah

    añg añg apnā isī rut meñ mahaktā dekhūñ

    phuul tarah mire jism har lab khul jaa.e

    pankhuḌī pankhuḌī un hoñToñ saayā dekhūñ

    maiñ ne jis lamhe ko puujā hai use bas ik baar

    ḳhvāb ban kar tirī āñkhoñ meñ utartā dekhūñ

    mirī tarah se yaktā hai magar mere habīb

    meñ aatā hai koī aur bhī tujh dekhūñ

    TuuT jaa.eñ ki pighal jaa.eñ mire kachche ghaḌe

    tujh ko maiñ dekhūñ ki ye aag dariyā dekhūñ

    apni ruswai tere nam ka charcha dekhun

    ek zara sher kahun aur main kya kya dekhun

    nind aa jae to kya mahfilen barpa dekhun

    aankh khul jae to tanhai ka sahra dekhun

    sham bhi ho gai dhundla gain aankhen bhi meri

    bhulne wale main kab tak tera rasta dekhun

    ek ek kar ke mujhe chhoD gain sab sakhiyan

    aaj main KHud ko teri yaad mein tanha dekhun

    kash sandal se meri mang ujale aa kar

    itne ghairon mein wahi hath jo apna dekhun

    tu mera kuchh nahin lagta hai magar jaan-e-hayat

    jaane kyun tere liye dil ko dhDakna dekhun

    band kar ke meri aankhen wo shararat se hanse

    bujhe jaane ka main har roz tamasha dekhun

    sab ziden us ki main puri karun har baat sunun

    ek bachche ki tarah se use hansta dekhun

    mujh pe chha jae wo barsat ki KHushbu ki tarah

    ang ang apna isi rut mein mahakta dekhun

    phul ki tarah mere jism ka har lab khul jae

    pankhuDi pankhuDi un honTon ka saya dekhun

    main ne jis lamhe ko puja hai use bas ek bar

    KHwab ban kar teri aankhon mein utarta dekhun

    tu meri tarah se yakta hai magar mere habib

    ji mein aata hai koi aur bhi tujh sa dekhun

    TuT jaen ki pighal jaen mere kachche ghaDe

    tujh ko main dekhun ki ye aag ka dariya dekhun

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    RECITATIONS

    Fahad Husain

    Fahad Husain,

    Fahad Husain

    apni ruswai tere nam ka charcha dekhun Fahad Husain

    Source :
    • Book : kulliyaat-e-maahe tamaam(khshbo) (Pg. 60)

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now