Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lutf o karam ke putle ho ab qahr o sitam ka nam nahin

Fani Badayuni

lutf o karam ke putle ho ab qahr o sitam ka nam nahin

Fani Badayuni

MORE BYFani Badayuni

    lutf o karam ke putle ho ab qahr o sitam naam nahīñ

    dil pe ḳhudā maar ki phir bhī chain nahīñ ārām nahīñ

    jitne muñh haiñ utnī bāteñ dil pata kyā ḳhaak chale

    jis ne dil chorī hai ek usī naam nahīñ

    jalva o dil meñ farq nahīñ jalve ko ab dil kahte haiñ

    yaanī ishq hastī āġhāz to hai anjām nahīñ

    ruk ke jo sāñseñ aa.iiñ ga.iiñ maanā ki vo aaheñ thiiñ lekin

    aap ne tevar kyuuñ badle aahoñ meñ kisī naam nahīñ

    ishq ke āzārī bhī kahīñ mar jaane se jaate haiñ

    le ye tasallī rahne de ai maut ye terā kaam nahīñ

    kab se paḌī haiñ dil meñ tere zikr saarī rāheñ band

    barsoñ guzre is bastī meñ rasm-e-salām-o-payām nahīñ

    had thī ye betābi-e-dil jāniye ab kyā honā hai

    sabr had bhī hone aa.ī sub.h nahīñ shaam nahīñ

    dil pe apnā bas nahīñ chaltā un shikāyat kyā kiije

    aap ham apne dushman Thahre dost pe kuchh ilzām nahīñ

    dil se kisī āñkhoñ tak kuchh raaz bāteñ pahuñchī haiñ

    aañkh se dil tak aayā ho aisā to koī paiġhām nahīñ

    naza.a meñ 'fānī' ne ye kis chupke chupke naam liyā

    kyuuñ o kāfir terī zabāñ par ab bhī ḳhudā naam nahīñ

    lutf o karam ke putle ho ab qahr o sitam ka nam nahin

    dil pe KHuda ki mar ki phir bhi chain nahin aaram nahin

    jitne munh hain utni baaten dil ka pata kya KHak chale

    jis ne dil ki chori ki hai ek usi ka nam nahin

    jalwa o dil mein farq nahin jalwe ko hi ab dil kahte hain

    yani ishq ki hasti ka aaghaz to hai anjam nahin

    ruk ke jo sansen aain gain mana ki wo aahen thin lekin

    aap ne tewar kyun badle aahon mein kisi ka nam nahin

    ishq ke aazari bhi kahin mar jaane se ji jate hain

    le ye tasalli rahne de ai maut ye tera kaam nahin

    kab se paDi hain dil mein tere zikr ki sari rahen band

    barson guzre is basti mein rasm-e-salam-o-payam nahin

    had thi ye betabi-e-dil ki jaaniye ab kya hona hai

    sabr ki had bhi hone aai subh nahin ya sham nahin

    dil pe apna bas nahin chalta un ki shikayat kya kije

    aap hum apne dushman Thahre dost pe kuchh ilzam nahin

    dil se kisi ki aankhon tak kuchh raaz ki baaten pahunchi hain

    aankh se dil tak aaya ho aisa to koi paigham nahin

    naza mein 'fani' tu ne ye kis ka chupke chupke nam liya

    kyun o kafir teri zaban par ab bhi KHuda ka nam nahin

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now