mathe pe laga sandal wo haar pahan nikle
mathe pe laga sandal wo haar pahan nikle
Mirza Mohammad Taqi Hawas
MORE BYMirza Mohammad Taqi Hawas
māthe pe lagā sandal vo haar pahan nikle
ham khīñch vahīñ qashqa zunnār pahan nikle
allāh re tirī shorish ai fasl-e-junūñ tujh meñ
dīvānoñ kī zanjīreñ hoshyār pahan nikle
āshiq ke ta.iiñ apne saj apnī dikhāne ko
malmal kā angarkhā vo sau baar pahan nikle
marġhūb-e-junūñ paa.ī poshāk na jab koī
ham-jāma-e-uryānī nā-chār pahan nikle
kyūñkar na 'havas' jaave sadqe falak-e-nīlī
nīlam hī kā sab gahnā jab yaar pahan nikle
mathe pe laga sandal wo haar pahan nikle
hum khinch wahin qashqa zunnar pahan nikle
allah re teri shorish ai fasl-e-junun tujh mein
diwanon ki zanjiren hoshyar pahan nikle
aashiq ke tain apne saj apni dikhane ko
malmal ka angarkha wo sau bar pahan nikle
marghub-e-junun pai poshak na jab koi
ham-jama-e-uryani na-chaar pahan nikle
kyunkar na 'hawas' jawe sadqe falak-e-nili
nilam hi ka sab gahna jab yar pahan nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.