Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

magar usko fareb-e-nargis-e-mastana aata hai

Haidar Ali Aatish

magar usko fareb-e-nargis-e-mastana aata hai

Haidar Ali Aatish

magar us ko fareb-e-nargis-e-mastāna aatā hai

ulaTtī haiñ safeñ gardish meñ jab paimāna aatā hai

nihāyat dil ko hai marġhūb bosa ḳhāl-e-mushkīñ

dahan tak apne kab tak dekhiye ye daana aatā hai

ḳhushī se apnī rusvā.ī gavārā ho nahīñ saktī

garebāñ phāḌtā hai tang jab dīvāna aatā hai

firāq-e-yār meñ dil par nahīñ ma.alūm kyā guzrī

jo ashk āñkhoñ meñ aatā hai so betābāna aatā hai

bagūle tarah kis kis ḳhushī se ḳhaak uḌātā huuñ

talāsh-e-ganj meñ jo sāmne vīrāna aatā hai

samajhte haiñ mire dil vo kyā nā-fahm o nādāñ haiñ

huzūr-e-sham.a be-matlab nahīñ parvāna aatā hai

talab duniyā ko kar ke zan-murīdī ho nahīñ saktī

ḳhayāl-e-ābrū-e-himmat-e-mardāna aatā hai

hamesha fikr se yaañ āshiqāna sher Dhalte haiñ

zabāñ ko apnī bas ik husn afsāna aatā hai

tamāshā-gāh-e-hastī meñ adam dhyān hai kis ko

kise is anjuman meñ yaad ḳhalvat-ḳhāna aatā hai

sabā tarah har ik ġhairat-e-gul se haiñ lag chalte

mohabbat hai sarisht apnī hameñ yārāna aatā hai

ziyārat hogī kā'ba yahī ta.abīr hai is

ka.ī shab se hamāre ḳhvāb meñ but-ḳhāna aatā hai

ḳhayāl aayā hai ā.īna muñh us meñ vo dekheñge

ab uljhe baal sukhlāne ḳhātir shāna aatā hai

phañsā detā hai murġh-e-dil ko dām-e-zulf-e-pechāñ meñ

tumhāre ḳhāl-e-ruḳh ko bhī fareb-e-dāna aatā hai

itaab o lutf jo farmāo har sūrat se raazī haiñ

shikāyat se nahīñ vāqif hameñ shukrāna aatā hai

ḳhudā ghar hai but-ḳhāna hamārā dil nahīñ 'ātish'

maqām-e-āshnā hai yaañ nahīñ begāna aatā hai

magar us ko fareb-e-nargis-e-mastana aata hai

ulaTti hain safen gardish mein jab paimana aata hai

nihayat dil ko hai marghub bosa KHal-e-mushkin ka

dahan tak apne kab tak dekhiye ye dana aata hai

KHushi se apni ruswai gawara ho nahin sakti

gareban phaDta hai tang jab diwana aata hai

firaq-e-yar mein dil par nahin malum kya guzri

jo ashk aankhon mein aata hai so betabana aata hai

bagule ki tarah kis kis KHushi se KHak uData hun

talash-e-ganj mein jo samne virana aata hai

samajhte hain mere dil ki wo kya na-fahm o nadan hain

huzur-e-shama be-matlab nahin parwana aata hai

talab duniya ko kar ke zan-muridi ho nahin sakti

KHayal-e-abru-e-himmat-e-mardana aata hai

hamesha fikr se yan aashiqana sher Dhalte hain

zaban ko apni bas ek husn ka afsana aata hai

tamasha-gah-e-hasti mein adam ka dhyan hai kis ko

kise is anjuman mein yaad KHalwat-KHana aata hai

saba ki tarah har ek ghairat-e-gul se hain lag chalte

mohabbat hai sarisht apni hamein yarana aata hai

ziyarat hogi ka'ba ki yahi tabir hai is ki

kai shab se hamare KHwab mein but-KHana aata hai

KHayal aaya hai aaina ka munh us mein wo dekhenge

ab uljhe baal sukhlane ki KHatir shana aata hai

phansa deta hai murgh-e-dil ko dam-e-zulf-e-pechan mein

tumhaare KHal-e-ruKH ko bhi fareb-e-dana aata hai

itab o lutf jo farmao har surat se raazi hain

shikayat se nahin waqif hamein shukrana aata hai

KHuda ka ghar hai but-KHana hamara dil nahin 'atish'

maqam-e-ashna hai yan nahin begana aata hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now