Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main hun tera KHayal hai aur chand-raat hai

Wasi Shah

main hun tera KHayal hai aur chand-raat hai

Wasi Shah

MORE BYWasi Shah

    maiñ huuñ tirā ḳhayāl hai aur chāñd-rāt hai

    dil dard se niDhāl hai aur chāñd-rāt hai

    āñkhoñ meñ chubh ga.iiñ tirī yādoñ kirchiyāñ

    kāñdhoñ pe ġham shaal hai aur chāñd-rāt hai

    dil toḌ ke ḳhamosh nazāroñ kyā milā

    shabnam ye savāl hai aur chāñd-rāt hai

    phir titliyāñ uḌne lagīñ dasht-e-ḳhvāb meñ

    phir ḳhvāhish-e-visāl hai aur chāñd-rāt hai

    campus nahr par hai tirā haath haath meñ

    mausam bhī lā-zavāl hai aur chāñd-rāt hai

    har ik kalī ne oḌh liyā mātamī libās

    har phuul par malāl hai aur chāñd-rāt hai

    merī to por por meñ ḳhushbū bas ga.ī

    us par tirā ḳhayāl hai aur chāñd-rāt hai

    chhalkā paḌ rahā hai 'vasī' vahshatoñ rañg

    har chiiz pe zavāl hai aur chāñd-rāt hai

    main hun tera KHayal hai aur chand-raat hai

    dil dard se niDhaal hai aur chand-raat hai

    aankhon mein chubh gain teri yaadon ki kirchiyan

    kandhon pe gham ki shaal hai aur chand-raat hai

    dil toD ke KHamosh nazaron ka kya mila

    shabnam ka ye sawal hai aur chand-raat hai

    phir titliyan si uDne lagin dasht-e-KHwab mein

    phir KHwahish-e-visal hai aur chand-raat hai

    campus ki nahr par hai tera hath hath mein

    mausam bhi la-zawal hai aur chand-raat hai

    har ek kali ne oDh liya matami libas

    har phul par malal hai aur chand-raat hai

    meri to por por mein KHushbu si bas gai

    us par tera KHayal hai aur chand-raat hai

    chhalka sa paD raha hai 'wasi' wahshaton ka rang

    har chiz pe zawal hai aur chand-raat hai

    RECITATIONS

    Wasi Shah

    Wasi Shah,

    Wasi Shah

    Mein hoon tera khayal hai aur chand raat hai Wasi Shah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now