Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main ki KHush hota tha dariya ki rawani dekh kar

Shahzad Ahmad

main ki KHush hota tha dariya ki rawani dekh kar

Shahzad Ahmad

maiñ ki ḳhush hotā thā dariyā ravānī dekh kar

kaañp uTThā huuñ galī-kūchoñ meñ paanī dekh kar

ho koī bahrūp us dil dhaḌaktā hai zarūr

maiñ use pahchān letā huuñ nishānī dekh kar

adh-khule tanhā darīchoñ mujhe aayā ḳhayāl

nīm-vā āñkhoñ rañgat āsmānī dekh kar

abr ke TukḌoñ ne dīvāreñ banā diiñ jā-ba-jā

dhuup se jaltī fazā be-karānī dekh kar

ek lamhe meñ kaTā hai muddatoñ fāsla

maiñ abhī aayā huuñ tasvīreñ purānī dekh kar

aañkh ke bādal se kahtā hai ki duniyā par baras

dil lab o ruḳhsār sho.ala-fishānī dekh kar

kis taraf le jā.egī so.e hue logoñ ko raat

Dar rahā huuñ us āñkhoñ meñ girānī dekh kar

din vahīñ par kāTnā ham ko qayāmat ho gayā

aan baiThe the jahāñ sub.heñ suhānī dekh kar

dil meñ jo kuchh hai zabāñ zā.iqa bantā nahīñ

lafz chehra Dhāñp lete haiñ ma.ānī dekh kar

dil na jaane kaun gahrā.iyoñ meñ kho gayā

bahr maujoñ tahrīroñ ko faanī dekh kar

der se 'shahzād' kunj-e-āfiyat meñ the asiir

ḳhush huā hai dil balā-e-nā-gahānī dekh kar

main ki KHush hota tha dariya ki rawani dekh kar

kanp uTTha hun gali-kuchon mein pani dekh kar

ho koi bahrup us ka dil dhaDakta hai zarur

main use pahchan leta hun nishani dekh kar

adh-khule tanha darichon ka mujhe aaya KHayal

nim-wa aankhon ki rangat aasmani dekh kar

abr ke TukDon ne diwaren bana din ja-ba-ja

dhup se jalti faza ki be-karani dekh kar

ek lamhe mein kaTa hai muddaton ka fasla

main abhi aaya hun taswiren purani dekh kar

aankh ke baadal se kahta hai ki duniya par baras

dil lab o ruKHsar ki shoala-fishani dekh kar

kis taraf le jaegi soe hue logon ko raat

Dar raha hun us ki aankhon mein girani dekh kar

din wahin par kaTna hum ko qayamat ho gaya

aan baiThe the jahan subhen suhani dekh kar

dil mein jo kuchh hai zaban ka zaiqa banta nahin

lafz chehra Dhanp lete hain maani dekh kar

dil na jaane kaun si gahraiyon mein kho gaya

bahr ki maujon ki tahriron ko fani dekh kar

der se 'shahzad' kunj-e-afiyat mein the asir

KHush hua hai dil bala-e-na-gahani dekh kar

Source :
  • Book : Deewar pe dastak (Pg. 342)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now