aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi nahin hai aane wala phir bhi koi aane ko hai

Nida Fazli

koi nahin hai aane wala phir bhi koi aane ko hai

Nida Fazli

MORE BYNida Fazli

    koī nahīñ hai aane vaalā phir bhī koī aane ko hai

    aate jaate raat aur din meñ kuchh to bahlāne ko hai

    chalo yahāñ se apnī apnī shāḳhoñ pe lauT aa.e parinde

    bhūlī-bisrī yādoñ ko phir tanhā.ī dohrāne ko hai

    do darvāze ek havelī aamad ruḳhsat ek pahelī

    koī kar aane ko hai koī aa kar jaane ko hai

    din bhar hañgāma saarā shaam Dhale phir bistar pyārā

    merā rasta ho terā har rasta ghar jaane ko hai

    ābādī shor-sharāba chhoḌ ke DhūñDo koī ḳharāba

    tanhā.ī phir sham.a jalā kar koī harf sunāne ko hai

    koi nahin hai aane wala phir bhi koi aane ko hai

    aate jate raat aur din mein kuchh to ji bahlane ko hai

    chalo yahan se apni apni shaKHon pe lauT aae parinde

    bhuli-bisri yaadon ko phir tanhai dohrane ko hai

    do darwaze ek haweli aamad ruKHsat ek paheli

    koi ja kar aane ko hai koi aa kar jaane ko hai

    din bhar ka hangama sara sham Dhale phir bistar pyara

    mera rasta ho ya tera har rasta ghar jaane ko hai

    aabaadi ka shor-sharaba chhoD ke DhunDo koi KHaraba

    tanhai phir shama jala kar koi harf sunane ko hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    koi nahin hai aane wala phir bhi koi aane ko hai Nomaan Shauque

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now