Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mar ke bhi qamat-e-mahbub ki ulfat na gai

Jalal Lakhnavi

mar ke bhi qamat-e-mahbub ki ulfat na gai

Jalal Lakhnavi

mar ke bhī qāmat-e-mahbūb ulfat na ga.ī

ho chukā hashr bhī lekin ye qayāmat na ga.ī

shab ko mai ḳhuub sub.h ko tauba kar

riñd ke riñd rahe haath se jannat na ga.ī

bosa le kar jo mukartā huuñ to vo kahte haiñ

shā.irī asar aur jhuuT aadat na ga.ī

daaġh miTte na sunā dil se tirī hasrat

aa.ī jis ghar meñ phir us ghar se ye daulat na ga.ī

paas baiThe bhī to kyā jald uThe ghabrā kar

merā saudā to gayā aap vahshat na ga.ī

na huā saaf dil-e-yār kisī tarah 'jalāl'

ḳhaak meñ mil ga.e ham us kudūrat na ga.ī

mar ke bhi qamat-e-mahbub ki ulfat na gai

ho chuka hashr bhi lekin ye qayamat na gai

shab ko mai KHub si pi subh ko tauba kar li

rind ke rind rahe hath se jannat na gai

bosa le kar jo mukarta hun to wo kahte hain

shairi ka asar aur jhuT ki aadat na gai

dagh miTte na suna dil se teri hasrat ka

aai jis ghar mein phir us ghar se ye daulat na gai

pas baiThe bhi to kya jald uThe ghabra kar

mera sauda to gaya aap ki wahshat na gai

na hua saf dil-e-yar kisi tarah 'jalal'

KHak mein mil gae hum us ki kudurat na gai

Source :
  • Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 44)
  • Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now