Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mashhur hain dilon ki mere be-qarariyan

Meer Taqi Meer

mashhur hain dilon ki mere be-qarariyan

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    mash.hūr haiñ diloñ mire be-qarāriyāñ

    jaatī haiñ lā-makāñ ko dil-e-shab zāriyāñ

    chehre pe jaise zaḳhm hai nāḳhūn ḳharāsh

    ab dīdanī huī haiñ mirī dast-kāriyāñ

    sau baar ham ne gul ke kahe par chaman ke biich

    bhar haiñ āb-e-chashm se rātoñ ko kyāriyāñ

    kushte us ke ḳhaak bharī jism-e-zār par

    ḳhālī nahīñ haiñ lutf se lohū dhāriyāñ

    turbat se 'āshiqoñ ke na uThā kabhū ġhubār

    se ga.e vale na ga.iiñ rāz-dāriyāñ

    ab kis kis apnī ḳhvāhish-e-murda ko roiye

    thiiñ ham ko is se saiñkaḌoñ ummīdvāriyāñ

    paḌhte phireñge galiyoñ meñ in reḳhtoñ ko log

    muddat raheñgī yaad ye bāteñ hamāriyāñ

    kyā jānte the aise din aa jā.eñge shitāb

    rote guzartiyāñ haiñ hameñ rāteñ sāriyāñ

    gul ne hazār rang-e-suḳhan sar kiyā vale

    dil se ga.iiñ na bāteñ tirī pyārī pyāriyāñ

    jāoge bhuul 'ahd ko farhād-o-qais ke

    gar pahuñchīñ ham shikasta-diloñ bhī bāriyāñ

    bach jaatā ek raat jo kaT jaatī aur 'mīr'

    kāTīñ thiiñ kohkan ne bahut rāteñ bhāriyāñ

    mashhur hain dilon ki mere be-qarariyan

    jati hain la-makan ko dil-e-shab ki zariyan

    chehre pe jaise zaKHm hai naKHun ka KHarash

    ab didani hui hain meri dast-kariyan

    sau bar hum ne gul ke kahe par chaman ke bich

    bhar di hain aab-e-chashm se raaton ko kyariyan

    kushte ki us ke KHak bhari jism-e-zar par

    KHali nahin hain lutf se lohu ki dhaariyan

    turbat se 'ashiqon ke na uTha kabhu ghubar

    ji se gae wale na gain raaz-dariyan

    ab kis kis apni KHwahish-e-murda ko roiye

    thin hum ko is se sainkaDon ummidwariyan

    paDhte phirenge galiyon mein in reKHton ko log

    muddat rahengi yaad ye baaten hamariyan

    kya jaante the aise din aa jaenge shitab

    rote guzartiyan hain hamein raaten sariyan

    gul ne hazar rang-e-suKHan sar kiya wale

    dil se gain na baaten teri pyari pyariyan

    jaoge bhul 'ahd ko farhad-o-qais ke

    gar pahunchin hum shikasta-dilon ki bhi bariyan

    bach jata ek raat jo kaT jati aur 'mir'

    kaTin thin kohkan ne bahut raaten bhaariyan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now