Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aashiqi mein mir jaise KHwab mat dekha karo

Ahmad Faraz

aashiqi mein mir jaise KHwab mat dekha karo

Ahmad Faraz

MORE BYAhmad Faraz

    āshiqī meñ 'mīr' jaise ḳhvāb mat dekhā karo

    bāvle ho jāoge mahtāb mat dekhā karo

    jasta jasta paḌh liyā karnā mazāmīn-e-vafā

    par kitāb-e-ishq har baab mat dekhā karo

    is tamāshe meñ ulaT jaatī haiñ aksar kashtiyāñ

    Dūbne vāloñ ko zer-e-āb mat dekhā karo

    mai-kade meñ kyā takalluf mai-kashī meñ kyā hijāb

    bazm-e-sāqī meñ adab ādāb mat dekhā karo

    ham se durveshoñ ke ghar aao to yāroñ tarah

    har jagah ḳhas-ḳhāna o barfāb mat dekhā karo

    māñge-tāñge qabā.eñ der tak rahtī nahīñ

    yaar logoñ ke laqab-alqāb mat dekhā karo

    tishnagī meñ lab bhigo lenā bhī kaafī hai 'farāz'

    jaam meñ sahbā hai zahrāb mat dekhā karo

    aashiqi mein 'mir' jaise KHwab mat dekha karo

    bawle ho jaoge mahtab mat dekha karo

    jasta jasta paDh liya karna mazamin-e-wafa

    par kitab-e-ishq ka har bab mat dekha karo

    is tamashe mein ulaT jati hain aksar kashtiyan

    Dubne walon ko zer-e-ab mat dekha karo

    mai-kade mein kya takalluf mai-kashi mein kya hijab

    bazm-e-saqi mein adab aadab mat dekha karo

    hum se durweshon ke ghar aao to yaron ki tarah

    har jagah KHas-KHana o barfab mat dekha karo

    mange-tange ki qabaen der tak rahti nahin

    yar logon ke laqab-alqab mat dekha karo

    tishnagi mein lab bhigo lena bhi kafi hai 'faraaz'

    jam mein sahba hai ya zahrab mat dekha karo

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    aashiqi mein mir jaise KHwab mat dekha karo Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now