masih-e-waqt sahi hum ko us se kya lena
masīh-e-vaqt sahī ham ko us se kyā lenā
kabhī mile bhī to kuchh dard-e-dil baḌhā lenā
hazār tark-e-vafā kā ḳhayāl ho lekin
jo rū-ba-rū hoñ to baḌh kar gale lagā lenā
kisī ko choT lage apne dil ko ḳhuuñ karnā
zamāne bhar ke ġhamoñ ko gale lagā lenā
ḳhumār TuuTe to kaise ki ham ne siikh liyā
jo tū na ho to tirī yaad se nasha lenā
safīna Duub bhī jaa.e to ġham nahīñ 'fāriġh'
na bhuul kar kabhī ehsān-e-nāḳhudā lenā
masih-e-waqt sahi hum ko us se kya lena
kabhi mile bhi to kuchh dard-e-dil baDha lena
hazar tark-e-wafa ka KHayal ho lekin
jo ru-ba-ru hon to baDh kar gale laga lena
kisi ko choT lage apne dil ko KHun karna
zamane bhar ke ghamon ko gale laga lena
KHumar TuTe to kaise ki hum ne sikh liya
jo tu na ho to teri yaad se nasha lena
safina Dub bhi jae to gham nahin 'farigh'
na bhul kar kabhi ehsan-e-naKHuda lena
- Book : Junoon (Pg. 74)
- Author : Naseem Muqri
- Publication : Naseem Muqri (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.