Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mausam-e-gul par KHizan ka zor chal jata hai kyun

Aleena Itrat

mausam-e-gul par KHizan ka zor chal jata hai kyun

Aleena Itrat

MORE BYAleena Itrat

    mausam-e-gul par ḳhizāñ zor chal jaatā hai kyuuñ

    har hasīñ manzar bahut jaldī badal jaatā hai kyuuñ

    yuuñ añdhere meñ dikhā kar raushnī ik jhalak

    merī muTThī se har ik jugnū nikal jaatā hai kyuuñ

    raushnī ik musāfir thak ke ghar aatā hai jab

    to añdherā mere sūraj ko nigal jaatā hai kyuuñ

    tere lafzoñ tapish se kyuuñ sulag uThtī hai jaañ

    sard-mehrī se bhī terī dil ye jal jaatā hai kyuuñ

    ab ke jab lauTegā vo to fāsla rakkheñge ham

    ye irāda us ke aate badal jaatā hai kyuuñ

    duur hai sūraj 'alīnā' phir bhī us dhuup se

    barf chādar meñ lipTā tan pighal jaatā hai kyuuñ

    mausam-e-gul par KHizan ka zor chal jata hai kyun

    har hasin manzar bahut jaldi badal jata hai kyun

    yun andhere mein dikha kar raushni ki ek jhalak

    meri muTThi se har ek jugnu nikal jata hai kyun

    raushni ka ek musafir thak ke ghar aata hai jab

    to andhera mere suraj ko nigal jata hai kyun

    tere lafzon ki tapish se kyun sulag uThti hai jaan

    sard-mehri se bhi teri dil ye jal jata hai kyun

    ab ke jab lauTega wo to fasla rakkhenge hum

    ye irada us ke aate hi badal jata hai kyun

    dur hai suraj 'alina' phir bhi us ki dhup se

    barf ki chadar mein lipTa tan pighal jata hai kyun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now