Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek bar phir watan mein gaya ja ke aa gaya

Hafeez Jalandhari

ek bar phir watan mein gaya ja ke aa gaya

Hafeez Jalandhari

Interesting Fact

Dedicated to his 10-year-old daughter Hafeez Irshad Batool who died on 22 Oct 1929 after falling into a well. On 15th Aug 1938 her grave in Jalandhar was vandalised by the miscreants where she was buried.

ik baar phir vatan meñ gayā ke aa gayā

laḳht-e-jigar ko ḳhaak meñ dafnā ke aa gayā

har ham-safar pe ḳhizr dhokā huā mujhe

āb-e-baqā raah se katrā ke aa gayā

hūr-e-lahad ne chhīn liyā tujh ko aur maiñ

apnā muñh liye hue sharmā ke aa gayā

dil le gayā mujhe tirī turbat pe baar baar

āvāz de ke baiTh ke uktā ke aa gayā

royā ki thā jahez tirā vājib-ul-adā

meñh motiyoñ qabr pe barsā ke aa gayā

merī bisāt kyā thī huzūr-e-razā-e-dost

tinkā ek sāmne dariyā ke aa gayā

ab ke bhī raas aa.ī na hubb-e-vatan 'hafīz'

ab ke bhī ek tīr-e-qazā khā ke aa gayā

ek bar phir watan mein gaya ja ke aa gaya

laKHt-e-jigar ko KHak mein dafna ke aa gaya

har ham-safar pe KHizr ka dhoka hua mujhe

aab-e-baqa ki rah se katra ke aa gaya

hur-e-lahad ne chhin liya tujh ko aur main

apna sa munh liye hue sharma ke aa gaya

dil le gaya mujhe teri turbat pe bar bar

aawaz de ke baiTh ke ukta ke aa gaya

roya ki tha jahez tera wajib-ul-ada

meinh motiyon ka qabr pe barsa ke aa gaya

meri bisat kya thi huzur-e-raza-e-dost

tinka sa ek samne dariya ke aa gaya

ab ke bhi ras aai na hubb-e-watan 'hafiz'

ab ke bhi ek tir-e-qaza kha ke aa gaya

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Hafeez Jalandhari (Pg. 334)

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now