Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai ajib shahr ki zindagi na safar raha na qayam hai

Bashir Badr

hai ajib shahr ki zindagi na safar raha na qayam hai

Bashir Badr

MORE BYBashir Badr

    hai ajiib shahr zindagī na safar rahā na qayām hai

    kahīñ kārobār dopahar kahīñ bad-mizāj shaam hai

    yūñhī roz milne aarzū baḌī rakh-rakhāv guftugū

    ye sharāfateñ nahīñ be-ġharaz ise aap se koī kaam hai

    kahāñ ab duāoñ barkateñ vo nasīhateñ vo hidāyateñ

    ye mutālboñ ḳhulūs hai ye zarūratoñ salām hai

    vo diloñ meñ aag lagā.egā maiñ diloñ aag bujhāuñgā

    use apne kaam se kaam hai mujhe apne kaam se kaam hai

    na udaas ho na malāl kar kisī baat na ḳhayāl kar

    ka.ī saal ba.ad mile haiñ ham tire naam aaj shaam hai

    koī naġhma dhuup ke gaañv koī naġhma shaam chhāñv

    zarā in parindoñ se pūchhnā ye kalām kis kalām hai

    hai ajib shahr ki zindagi na safar raha na qayam hai

    kahin karobar si dopahar kahin bad-mizaj si sham hai

    yunhi roz milne ki aarzu baDi rakh-rakhaw ki guftugu

    ye sharafaten nahin be-gharaz ise aap se koi kaam hai

    kahan ab duaon ki barkaten wo nasihaten wo hidayaten

    ye mutalbon ka KHulus hai ye zaruraton ka salam hai

    wo dilon mein aag lagaega main dilon ki aag bujhaunga

    use apne kaam se kaam hai mujhe apne kaam se kaam hai

    na udas ho na malal kar kisi baat ka na KHayal kar

    kai sal baad mile hain hum tere nam aaj ki sham hai

    koi naghma dhup ke ganw sa koi naghma sham ki chhanw sa

    zara in parindon se puchhna ye kalam kis ka kalam hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    RJ Sayema

    RJ Sayema

    RECITATIONS

    Zafar Iqbal

    Zafar Iqbal,

    Zafar Iqbal

    hai ajib shahr ki zindagi na safar raha na qayam hai Zafar Iqbal

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now