Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bana gulab to kanTe chubha gaya ek shaKHs

Obaidullah Aleem

bana gulab to kanTe chubha gaya ek shaKHs

Obaidullah Aleem

banā gulāb to kāñTe chubhā gayā ik shaḳhs

huā charāġh to ghar jalā gayā ik shaḳhs

tamām rañg mire aur saare ḳhvāb mire

fasāna the ki fasāna banā gayā ik shaḳhs

maiñ kis havā meñ uḌuuñ kis fazā meñ lahrā.ūñ

dukhoñ ke jaal har ik bichhā gayā ik shaḳhs

palaT sakūñ na aage baḌh sakūñ jis par

mujhe ye kaun se raste lagā gayā ik shaḳhs

mohabbateñ bhī ajab us nafrateñ bhī kamāl

mirī tarah mujh meñ samā gayā ik shaḳhs

mohabbatoñ ne kisī bhulā rakhā thā use

mile vo zaḳhm ki phir yaad aa gayā ik shaḳhs

khulā ye raaz ki ā.īna-ḳhāna hai duniyā

aur us meñ mujh ko tamāshā banā gayā ik shaḳhs

bana gulab to kanTe chubha gaya ek shaKHs

hua charagh to ghar hi jala gaya ek shaKHs

tamam rang mere aur sare KHwab mere

fasana the ki fasana bana gaya ek shaKHs

main kis hawa mein uDun kis faza mein lahraun

dukhon ke jal har ek su bichha gaya ek shaKHs

palaT sakun hi na aage hi baDh sakun jis par

mujhe ye kaun se raste laga gaya ek shaKHs

mohabbaten bhi ajab us ki nafraten bhi kamal

meri hi tarah ka mujh mein sama gaya ek shaKHs

mohabbaton ne kisi ki bhula rakha tha use

mile wo zaKHm ki phir yaad aa gaya ek shaKHs

khula ye raaz ki aaina-KHana hai duniya

aur us mein mujh ko tamasha bana gaya ek shaKHs

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Runa Laila

Runa Laila

Obaidullah Aleem

Obaidullah Aleem

RECITATIONS

Obaidullah Aleem

Obaidullah Aleem,

Obaidullah Aleem

bana gulab to kanTe chubha gaya ek shaKHs Obaidullah Aleem

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now