aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mera nishan bhi DhunDh ghubar-e-mah-o-aKHtar mein

Zeb Ghauri

mera nishan bhi DhunDh ghubar-e-mah-o-aKHtar mein

Zeb Ghauri

MORE BYZeb Ghauri

    merā nishāñ bhī DhūñDh ġhubār-e-māh-o-aḳhtar meñ

    kuchh manzar maiñ ne bhī banā.e banā.e haiñ manzar meñ

    pūchho to zaḳhmoñ havāla denā mushkil hai

    itnī be-tartībī hai dil ke daftar meñ

    vo maujoñ tesha-zanī se gūñjtī chaTTāneñ

    vo patthar raat Dhalnā chāñd ke paikar meñ

    itnā yaad hai jab maiñ chalā thā sū-e-dasht-e-balā

    maujeñ mārtā ik dariyā bahtā thā barābar maiñ

    chamak rahā hai ḳhema-e-raushan duur sitāre

    dil kashtī tair rahī hai khule samundar meñ

    'zeb' mujhe Dar lagne lagā hai apne ḳhvāboñ se

    jāgte jāgte dard rahā kartā hai mire sar meñ

    mera nishan bhi DhunDh ghubar-e-mah-o-aKHtar mein

    kuchh manzar main ne bhi banae banae hain manzar mein

    puchho to zaKHmon ka hawala dena mushkil hai

    itni be-tartibi si hai dil ke daftar mein

    wo maujon ki tesha-zani se gunjti chaTTanen

    wo patthar si raat ka Dhalna chand ke paikar mein

    itna yaad hai jab main chala tha su-e-dasht-e-bala

    maujen marta ek dariya bahta tha barabar main

    chamak raha hai KHema-e-raushan dur sitare sa

    dil ki kashti tair rahi hai khule samundar mein

    'zeb' mujhe Dar lagne laga hai apne KHwabon se

    jagte jagte dard raha karta hai mere sar mein

    Source:

    zartaab (Pg. 71)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now