Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere mahbub tum ho yar tum ho dil-ruba tum ho

Muztar Khairabadi

mere mahbub tum ho yar tum ho dil-ruba tum ho

Muztar Khairabadi

mere mahbūb tum ho yaar tum ho dil-rubā tum ho

ye sab kuchh ho magar maiñ kah nahīñ saktā ki kyā tum ho

tumhāre naam se sab log mujh ko jaan jaate haiñ

maiñ vo khoī huī ik chiiz huuñ jis patā tum ho

mohabbat ko hamārī ik zamāna ho gayā lekin

na tum samjhe ki kyā maiñ huuñ na maiñ samjhā ki kyā tum ho

hamāre dil ko bahr-e-ġham kyā tāqat jo le baiThe

vo kashtī Duub kab saktī hai jis ke nā-ḳhudā tum ho

bichhaḌnā bhī tumhārā jīte-jī maut hai goyā

use kyā ḳhaak lutf-e-zindagī jis se judā tum ho

musībat ta.alluq ham se kuchh bhī ho to rāhat hai

mire dil ko ḳhudā vo dard de jis davā tum ho

kahīñ is phūTe-muñh se bevafā lafz niklā thā

bas ab ta.anoñ pe ta.ane haiñ ki be-shak bā-vafā tum ho

qayāmat aa.egī aa ga.ī is shikāyat kyā

qayāmat kyuuñ na ho jab fitna-e-roz-e-jazā tum ho

ulajh paḌne meñ kākul ho bigaḌne meñ muqaddar ho

palaTne meñ zamāna ho badalne meñ havā tum ho

vo kahte haiñ ye saarī bevafā.ī hai mohabbat

na 'muztar' be-vafā maiñ huuñ na 'muztar' be-vafā tum ho

mere mahbub tum ho yar tum ho dil-ruba tum ho

ye sab kuchh ho magar main kah nahin sakta ki kya tum ho

tumhaare nam se sab log mujh ko jaan jate hain

main wo khoi hui ek chiz hun jis ka pata tum ho

mohabbat ko hamari ek zamana ho gaya lekin

na tum samjhe ki kya main hun na main samjha ki kya tum ho

hamare dil ko bahr-e-gham ki kya taqat jo le baiThe

wo kashti Dub kab sakti hai jis ke na-KHuda tum ho

bichhaDna bhi tumhaara jite-ji ki maut hai goya

use kya KHak lutf-e-zindagi jis se juda tum ho

musibat ka talluq hum se kuchh bhi ho to rahat hai

mere dil ko KHuda wo dard de jis ki dawa tum ho

kahin is phuTe-munh se bewafa ka lafz nikla tha

bas ab tanon pe tane hain ki be-shak ba-wafa tum ho

qayamat aaegi ya aa gai is ki shikayat kya

qayamat kyun na ho jab fitna-e-roz-e-jaza tum ho

ulajh paDne mein kakul ho bigaDne mein muqaddar ho

palaTne mein zamana ho badalne mein hawa tum ho

wo kahte hain ye sari bewafai hai mohabbat ki

na 'muztar' be-wafa main hun na 'muztar' be-wafa tum ho

Source :
  • Book : Khirman (Part-1) (Pg. 226)
  • Author : Muztar Khairabadi
  • Publication : Javed Akhtar (2015)
  • Edition : 2015
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now