Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri haalat dekhiye aur unki surat dekhiye

Josh Malihabadi

meri haalat dekhiye aur unki surat dekhiye

Josh Malihabadi

MORE BYJosh Malihabadi

    merī hālat dekhiye aur un sūrat dekhiye

    phir nigāh-e-ġhaur se qānūn-e-qudrat dekhiye

    sair-e-mahtāb-o-kavākib se tabassum tā-bake

    ro rahī hai vo kisī sham-e-turbat dekhiye

    aap ik jalva sarāsar maiñ sarāpā ik nazar

    apnī hājat dekhiye merī zarūrat dekhiye

    apne sāmān-e-ta.ayyush se agar fursat mile

    bekasoñ bhī kabhī tarz-e-ma.īshat dekhiye

    muskurā kar is tarah aayā na kiije sāmne

    kis qadar kamzor huuñ maiñ merī sūrat dekhiye

    aap ko laayā huuñ vīrānoñ meñ ibrat ke liye

    hazrat-e-dil dekhiye apnī haqīqat dekhiye

    sirf itne ke liye āñkheñ hameñ baḳhshī ga.iiñ

    dekhiye duniyā ke manzar aur ba-ibrat dekhiye

    maut bhī aa.ī to chehre par tabassum rahā

    zabt par hai kis qadar ham ko bhī qudrat dekhiye

    ye bhī koī baat hai har vaqt daulat ḳhayāl

    aadmī haiñ aap agar to ādmiyat dekhiye

    phuuT niklegā jabīñ se ek chashma husn

    sub.h uTh kar ḳhanda-e-sāmān-e-qudrat dekhiye

    rash.ha-e-shabnam bahār-e-gul faroġh-e-mehr-o-māh

    vaah kyā ash.ār haiñ dīvān-e-fitrat dekhiye

    is se baḌh kar aur ibrat sabaq mumkin nahīñ

    jo nashāt-e-zindagī the un turbat dekhiye

    thī ḳhatā un magar jab aa ga.e vo sāmne

    jhuk ga.iiñ merī āñkheñ rasm-e-ulfat dekhiye

    ḳhush-numā bad-numā ho dahr har chiiz meñ

    'josh' taḳh.īl kahtī hai ki nudrat dekhiye

    meri haalat dekhiye aur un ki surat dekhiye

    phir nigah-e-ghaur se qanun-e-qudrat dekhiye

    sair-e-mahtab-o-kawakib se tabassum ta-bake

    ro rahi hai wo kisi ki sham-e-turbat dekhiye

    aap ek jalwa sarasar main sarapa ek nazar

    apni hajat dekhiye meri zarurat dekhiye

    apne saman-e-tayyush se agar fursat mile

    bekason ka bhi kabhi tarz-e-maishat dekhiye

    muskura kar is tarah aaya na kije samne

    kis qadar kamzor hun main meri surat dekhiye

    aap ko laya hun viranon mein ibrat ke liye

    hazrat-e-dil dekhiye apni haqiqat dekhiye

    sirf itne ke liye aankhen hamein baKHshi gain

    dekhiye duniya ke manzar aur ba-ibrat dekhiye

    maut bhi aai to chehre par tabassum hi raha

    zabt par hai kis qadar hum ko bhi qudrat dekhiye

    ye bhi koi baat hai har waqt daulat ka KHayal

    aadmi hain aap agar to aadmiyat dekhiye

    phuT niklega jabin se ek chashma husn ka

    subh uTh kar KHanda-e-saman-e-qudrat dekhiye

    rashha-e-shabnam bahaar-e-gul farogh-e-mehr-o-mah

    wah kya ashaar hain diwan-e-fitrat dekhiye

    is se baDh kar aur ibrat ka sabaq mumkin nahin

    jo nashat-e-zindagi the un ki turbat dekhiye

    thi KHata un ki magar jab aa gae wo samne

    jhuk gain meri hi aankhen rasm-e-ulfat dekhiye

    KHush-numa ya bad-numa ho dahr ki har chiz mein

    'josh' ki taKHil kahti hai ki nudrat dekhiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now