aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

milate ho usi ko KHak mein jo dil se milta hai

Dagh Dehlvi

milate ho usi ko KHak mein jo dil se milta hai

Dagh Dehlvi

MORE BYDagh Dehlvi

    milāte ho usī ko ḳhaak meñ jo dil se miltā hai

    mirī jaañ chāhne vaalā baḌī mushkil se miltā hai

    those who meet you lovingly then into dust you grind

    those who bear affection, dear, are very hard to find

    kahīñ hai iid shādī kahīñ mātam hai maqtal meñ

    koī qātil se miltā hai koī bismil se miltā hai

    festive joy in places, elsewhere gloom of genocide

    some like the murderer rejoice, some victim-like abide

    pas-e-parda bhī lailā haath rakh letī hai āñkhoñ par

    ġhubār-e-nā-tavān-e-qais jab mahmil se miltā hai

    Lailaa covers up her eyes even behind the veil

    when her carriage is beset by dust of majnuu.n frail

    bhare haiñ tujh meñ vo lākhoñ hunar ai majma-e-ḳhūbī

    mulāqātī tirā goyā bharī mahfil se miltā hai

    you do possess a myriad skills , a throng of talents bring

    one who meets you is as though he meets a gathering

    mujhe aatā hai kyā kyā rashk vaqt-e-zab.h us se bhī

    galā jis dam lipaT kar ḳhanjar-e-qātil se miltā hai

    what envy I feel for my neck, even in slaughter's face

    when the dagger of the killer takes it in embrace

    ba-zāhir bā-adab yuuñ hazrat-e-nāseh se miltā huuñ

    murīd-e-ḳhās jaise murshid-e-kāmil se miltā hai

    it's obvious so respectfully the preacher I do greet

    just as a special pupil does the perfect master meet

    misāl-e-ganj-e-qārūñ ahl-e-hājat se nahīñ chhuptā

    jo hotā hai saḳhī ḳhud DhūñD kar saa.il se miltā hai

    like the wealth of Croseus, from poor he does not hide,

    a philanthrope seeks out the needy, himself, to provide

    javāb is baat us shoḳh ko kyā de sake koī

    jo dil le kar kahe kam-baḳht kis dil se miltā hai

    an answer to her mishievous comment what can there be

    who takes my heart and says you fool, you meet me heartlessly

    chhupā.e se koī chhuptī hai apne dil betābī

    ki har tār-e-nafas apnā rag-e-bismil se miltā hai

    can restlessness be hidden then, however may be tried

    as every ragged breath now does with wounded veins collide

    adam jo haqīqat hai vo pūchho ahl-e-hastī se

    musāfir ko to manzil patā manzil se miltā hai

    seek from the people of this world, the truth of death's domain

    for in this path from present stops, past's knowledge will obtain

    ġhazab hai 'dāġh' ke dil se tumhārā dil nahīñ miltā

    tumhārā chāñd chehra mah-e-kāmil se miltā hai

    tis wonder that your heart rejects this heart, so scarred, of mine

    your moon-like face resembles when, the full-moon's face divine

    milate ho usi ko KHak mein jo dil se milta hai

    meri jaan chahne wala baDi mushkil se milta hai

    those who meet you lovingly then into dust you grind

    those who bear affection, dear, are very hard to find

    kahin hai id ki shadi kahin matam hai maqtal mein

    koi qatil se milta hai koi bismil se milta hai

    festive joy in places, elsewhere gloom of genocide

    some like the murderer rejoice, some victim-like abide

    pas-e-parda bhi laila hath rakh leti hai aankhon par

    ghubar-e-na-tawan-e-qais jab mahmil se milta hai

    Lailaa covers up her eyes even behind the veil

    when her carriage is beset by dust of majnuu.n frail

    bhare hain tujh mein wo lakhon hunar ai majma-e-KHubi

    mulaqati tera goya bhari mahfil se milta hai

    you do possess a myriad skills , a throng of talents bring

    one who meets you is as though he meets a gathering

    mujhe aata hai kya kya rashk waqt-e-zabh us se bhi

    gala jis dam lipaT kar KHanjar-e-qatil se milta hai

    what envy I feel for my neck, even in slaughter's face

    when the dagger of the killer takes it in embrace

    ba-zahir ba-adab yun hazrat-e-naseh se milta hun

    murid-e-KHas jaise murshid-e-kaamil se milta hai

    it's obvious so respectfully the preacher I do greet

    just as a special pupil does the perfect master meet

    misal-e-ganj-e-qarun ahl-e-hajat se nahin chhupta

    jo hota hai saKHi KHud DhunD kar sail se milta hai

    like the wealth of Croseus, from poor he does not hide,

    a philanthrope seeks out the needy, himself, to provide

    jawab is baat ka us shoKH ko kya de sake koi

    jo dil le kar kahe kam-baKHt tu kis dil se milta hai

    an answer to her mishievous comment what can there be

    who takes my heart and says you fool, you meet me heartlessly

    chhupae se koi chhupti hai apne dil ki betabi

    ki har tar-e-nafas apna rag-e-bismil se milta hai

    can restlessness be hidden then, however may be tried

    as every ragged breath now does with wounded veins collide

    adam ki jo haqiqat hai wo puchho ahl-e-hasti se

    musafir ko to manzil ka pata manzil se milta hai

    seek from the people of this world, the truth of death's domain

    for in this path from present stops, past's knowledge will obtain

    ghazab hai 'dagh' ke dil se tumhaara dil nahin milta

    tumhaara chand sa chehra mah-e-kaamil se milta hai

    tis wonder that your heart rejects this heart, so scarred, of mine

    your moon-like face resembles when, the full-moon's face divine

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Munni Begum

    Munni Begum

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Nomaan Shauque

    milate ho usi ko KHak mein jo dil se milta hai Nomaan Shauque

    Fasih Akmal

    milate ho usi ko KHak mein jo dil se milta hai Fasih Akmal

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now