aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mua main sajde mein par naqsh mera bar raha

Meer Taqi Meer

mua main sajde mein par naqsh mera bar raha

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    muā maiñ sajde meñ par naqsh merā baar rahā

    us āstāñ pe mirī ḳhaak se ġhubār rahā

    junūñ meñ ab ke mujhe apne dil ġham hai pe haif

    ḳhabar jab ki na jaame meñ ek taar rahā

    bashar hai vo pe khulā jab se us dām-e-zulf

    sar-e-rah us ke farishte shikār rahā

    kabhū na āñkhoñ meñ aayā vo shoḳh ḳhvāb tarah

    tamām-umr hameñ us intizār rahā

    sharāb-e-aish mayassar huī jise ik shab

    phir us ko roz-e-qayāmat talak ḳhumār rahā

    butāñ ke 'ishq ne be-iḳhtiyār kar Daalā

    vo dil ki jis ḳhudā.ī meñ iḳhtiyār rahā

    vo dil ki shām-o-sahar jaise pakkā phoḌā thā

    vo dil ki jis se hamesha jigar-figār rahā

    tamām-umr ga.ī us pe haath rakhte hameñ

    vo dardnāk alarraġhm be-qarār rahā

    sitam meñ ġham meñ sar-anjām us kyā kahiye

    hazāroñ hasrateñ thiiñ tis pe ko maar rahā

    bahā to ḳhuun ho āñkhoñ raah bah niklā

    rahā jo sīna-e-sozāñ meñ dāġhdār rahā

    so us ko ham se farāmosh-kāriyoñ le ga.e

    ki us se qatra-e-ḳhūñ bhī na yādgār rahā

    galī meñ us gayā so gayā na bolā phir

    maiñ 'mīr' 'mīr' kar us ko bahut pukār rahā

    mua main sajde mein par naqsh mera bar raha

    us aastan pe meri KHak se ghubar raha

    junun mein ab ke mujhe apne dil ka gham hai pe haif

    KHabar li jab ki na jame mein ek tar raha

    bashar hai wo pe khula jab se us ka dam-e-zulf

    sar-e-rah us ke farishte hi ka shikar raha

    kabhu na aankhon mein aaya wo shoKH KHwab ki tarah

    tamam-umr hamein us ka intizar raha

    sharab-e-aish mayassar hui jise ek shab

    phir us ko roz-e-qayamat talak KHumar raha

    butan ke 'ishq ne be-iKHtiyar kar Dala

    wo dil ki jis ka KHudai mein iKHtiyar raha

    wo dil ki sham-o-sahar jaise pakka phoDa tha

    wo dil ki jis se hamesha jigar-figar raha

    tamam-umr gai us pe hath rakhte hamein

    wo dardnak alarraghm be-qarar raha

    sitam mein gham mein sar-anjam us ka kya kahiye

    hazaron hasraten thin tis pe ji ko mar raha

    baha to KHun ho aankhon ki rah bah nikla

    raha jo sina-e-sozan mein daghdar raha

    so us ko hum se faramosh-kariyon le gae

    ki us se qatra-e-KHun bhi na yaadgar raha

    gali mein us ki gaya so gaya na bola phir

    main 'mir' 'mir' kar us ko bahut pukar raha

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0064

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now