Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mera dil mubtala hai jhanwali ka

Abdul Wahab yakro

mera dil mubtala hai jhanwali ka

Abdul Wahab yakro

MORE BYAbdul Wahab yakro

    mirā dil mubtalā hai jhāñvalī

    tarī añkhiyāñ salonī sāñvlī

    gayā tan suukh añkhiyāñ tar haiñ ġham siiñ

    huā huuñ shaah ḳhushkī o tarī

    jabhī paan khā kar muskurāyā

    tabhī dil khil gayā gul kalī

    kahtā huuñ vasf dandāñ-o-misī ke

    mazā letā hoñ ab tal-chāvlī

    nahīñ hai reḳhte ke bahr paar

    samajh mat sher us kuuñ pārsī

    jo paao to dil merā dikhāo

    sunā hai shoḳh ḳhvāhāñ ārasī

    mujhe kahte haiñ 'yakrū' sab mohibbāñ

    ki banda jaañ siiñ huuñ hazrat-'alī'

    mera dil mubtala hai jhanwali ka

    tari ankhiyan saloni sanwli ka

    gaya tan sukh ankhiyan tar hain gham sin

    hua hun shah KHushki o tari ka

    jabhi tu pan kha kar muskuraya

    tabhi dil khil gaya gul ki kali ka

    kahta hun wasf dandan-o-misi ke

    maza leta hon ab tal-chawli ka

    nahin hai reKHte ke bahr ka par

    samajh mat sher us kun parsi ka

    jo ru pao to dil mera dikhao

    suna hai shoKH KHwahan aarasi ka

    mujhe kahte hain 'yakru' sab mohibban

    ki banda jaan sin hun hazrat-'ali' ka

    Source :
    • Book : diwan-e-yakro (Pg. 3)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now