Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mera haal puchh ke ham-nashin mere soz-e-dil ko hawa na de

Kaleem Aajiz

mera haal puchh ke ham-nashin mere soz-e-dil ko hawa na de

Kaleem Aajiz

mirā haal pūchh ke ham-nashīñ mire soz-e-dil ko havā na de

bas yahī du'ā maiñ karūñ huuñ ab ki ye ġham kisī ko ḳhudā na de

ye jo zaḳhm-e-dil ko pakā.e ham liye phir rahe haiñ chhupā.e ham

koī nā-shanās-e-mizāj-e-ġham kahīñ haath us ko lagā na de

jahāñ se aaj hai nukta-chīñ kabhī muddatoñ meñ rahā vahīñ

maiñ gadā-e-rāhguzar nahīñ mujhe duur se sadā na de

tab-o-tāb-e-ishq hai karam ki jamī hai mahfil-e-chashm-e-nam

zarā dekhiyo ai havā-e-ġham ye charāġh koī bujhā na de

vo jo shā'irī sabab huā vo mu'āmla bhī 'ajab huā

maiñ ġhazal sunā.ūñ huuñ is liye ki zamāna us ko bhulā na de

mera haal puchh ke ham-nashin mere soz-e-dil ko hawa na de

bas yahi du'a main karun hun ab ki ye gham kisi ko KHuda na de

ye jo zaKHm-e-dil ko pakae hum liye phir rahe hain chhupae hum

koi na-shanas-e-mizaj-e-gham kahin hath us ko laga na de

tu jahan se aaj hai nukta-chin kabhi muddaton mein raha wahin

main gada-e-rahguzar nahin mujhe dur hi se sada na de

tab-o-tab-e-ishq ka hai karam ki jami hai mahfil-e-chashm-e-nam

zara dekhiyo ai hawa-e-gham ye charagh koi bujha na de

wo jo sha'iri ka sabab hua wo mu'amla bhi 'ajab hua

main ghazal sunaun hun is liye ki zamana us ko bhula na de

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Kaleem Aajiz

Kaleem Aajiz

Source :
  • Book : vo jo shairi ka sabab hua (Pg. 353)
  • Author : Kaliim aajiz
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now