Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mera hai kaun dushman meri chahat kaun rakhta hai

Aitbar Sajid

mera hai kaun dushman meri chahat kaun rakhta hai

Aitbar Sajid

MORE BYAitbar Sajid

    mirā hai kaun dushman merī chāhat kaun rakhtā hai

    isī par sochte rahne fursat kaun rakhtā hai

    makīnoñ ke ta.alluq se yaad aatī hai har bastī

    vagarna sirf bām-o-dar se ulfat kaun rakhtā hai

    nahīñ hai nirḳh koī mere in ash.ār-e-tāza

    ye mere ḳhvāb haiñ ḳhvāboñ qīmat kaun rakhtā hai

    dar-e-ḳhema khulā rakkhā hai gul kar ke diyā ham ne

    so izn-e-ām hai lo shauq-e-ruḳhsat kaun rakhtā hai

    mare dushman qad is bhiiḌ meñ mujh se to ūñchā ho

    yahī meñ DhūñDhtā huuñ aisī qāmat kaun rakhtā hai

    hamāre shahr raunaq hai kuchh mash.hūr logoñ se

    magar sab jānte haiñ kaisī shohrat kaun rakhtā hai

    mera hai kaun dushman meri chahat kaun rakhta hai

    isi par sochte rahne ki fursat kaun rakhta hai

    makinon ke talluq hi se yaad aati hai har basti

    wagarna sirf baam-o-dar se ulfat kaun rakhta hai

    nahin hai nirKH koi mere in ashaar-e-taza ka

    ye mere KHwab hain KHwabon ki qimat kaun rakhta hai

    dar-e-KHema khula rakkha hai gul kar ke diya hum ne

    so izn-e-am hai lo shauq-e-ruKHsat kaun rakhta hai

    mare dushman ka qad is bhiD mein mujh se to uncha ho

    yahi mein DhunDhta hun aisi qamat kaun rakhta hai

    hamare shahr ki raunaq hai kuchh mashhur logon se

    magar sab jaante hain kaisi shohrat kaun rakhta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now