Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri nazar mera apna mushahida hai kahan

Asim Wasti

meri nazar mera apna mushahida hai kahan

Asim Wasti

mirī nazar mirā apnā mushāhida hai kahāñ

jo musta.ār nahīñ hai vo zāviya hai kahāñ

agar nahīñ tire jaisā to farq kaisā hai

agar maiñ aks huuñ terā to aa.ina hai kahāñ

huī hai jis meñ vazāhat hamāre hone

tirī kitāb meñ āḳhir vo hāshiya hai kahāñ

ye ham-safar to sabhī ajnabī se lagte haiñ

maiñ jis ke saath chalā thā vo qāfila hai kahāñ

madār meñ huuñ agar maiñ to hai kashish kis

agar maiñ ḳhud kashish huuñ to dā.era hai kahāñ

tirī zamīn pe kartā rahā huuñ mazdūrī

hai sūkhne ko pasīna muāvza hai kahāñ

huā bahisht se be-daḳhl jis ke baa.is maiñ

mirī zabān par us phal zā.iqa hai kahāñ

azal se hai mujhe darpesh dā.eroñ safar

jo mustaqīm hai rab vo rāsta hai kahāñ

agarche is se guzar to rahā huuñ maiñ 'āsim'

ye tajraba bhī mirā apnā tajraba hai kahāñ

meri nazar mera apna mushahida hai kahan

jo mustaar nahin hai wo zawiya hai kahan

agar nahin tere jaisa to farq kaisa hai

agar main aks hun tera to aaina hai kahan

hui hai jis mein wazahat hamare hone ki

teri kitab mein aaKHir wo hashiya hai kahan

ye ham-safar to sabhi ajnabi se lagte hain

main jis ke sath chala tha wo qafila hai kahan

madar mein hun agar main to hai kashish kis ki

agar main KHud hi kashish hun to daera hai kahan

teri zamin pe karta raha hun mazduri

hai sukhne ko pasina muawza hai kahan

hua bahisht se be-daKHl jis ke bais main

meri zaban par us phal ka zaiqa hai kahan

azal se hai mujhe darpesh daeron ka safar

jo mustaqim hai ya rab wo rasta hai kahan

agarche is se guzar to raha hun main 'asim'

ye tajraba bhi mera apna tajraba hai kahan

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

meri nazar mera apna mushahida hai kahan Nomaan Shauque

Source :
  • Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 36)
  • Author :Asim Wasti
  • Publication : Rekhta Publications (2020)
  • Edition : 2nd
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now