mizaj puchhte rahte ho mujhse kyon mera
mizāj pūchhte rahte ho mujh se kyoñ merā
ki jab samajh na sake jazb-e-andrūñ merā
vo dekh nok-e-sināñ kī bulandiyoñ kī taraf
sipāh-e-zulm na kar paa.ī sar nigūñ merā
ye ehtijāj ajab hai ḳhilāf-e-teġh-e-sitam
zamīñ meñ jazb nahīñ ho rahā hai ḳhuuñ merā
abhī daraḳht ke saa.e meñ thak ke baiThā hai
hazār raat kā jaagā huā junūñ merā
maiñ lafz-e-vasl ke mafhūm tak ko bhuul gayā
kisī ne chhīn liyā is tarah sukūñ merā
ajab nahīñ hai ki tanhā.ī sher paḌhtī hai
siyāh raat pe chaltā hai jab fusūñ merā
bas ek harf-e-mohabbat kā rabt hai tujh se
vagarna kuchh nahīñ lagtā hai tū bhī yuuñ merā
mizaj puchhte rahte ho mujh se kyon mera
ki jab samajh na sake jazb-e-andrun mera
wo dekh nok-e-sinan ki bulandiyon ki taraf
sipah-e-zulm na kar pai sar nigun mera
ye ehtijaj ajab hai KHilaf-e-tegh-e-sitam
zamin mein jazb nahin ho raha hai KHun mera
abhi daraKHt ke sae mein thak ke baiTha hai
hazar raat ka jaga hua junun mera
main lafz-e-wasl ke mafhum tak ko bhul gaya
kisi ne chhin liya is tarah sukun mera
ajab nahin hai ki tanhai sher paDhti hai
siyah raat pe chalta hai jab fusun mera
bas ek harf-e-mohabbat ka rabt hai tujh se
wagarna kuchh nahin lagta hai tu bhi yun mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.