mohabbat chahiye baham hamein bhi ho tumhein bhi ho
mohabbat chahiye baham hamein bhi ho tumhein bhi ho
Bahadur Shah Zafar
MORE BYBahadur Shah Zafar
mohabbat chāhiye bāham hameñ bhī ho tumheñ bhī ho
ḳhushī ho is meñ yā ho ġham hameñ bhī ho tumheñ bhī ho
ġhanīmat tum ise samjho ki is ḳhum-ḳhāne meñ yaaro
nasīb ik-dam dil-e-ḳhurram hameñ bhī ho tumheñ bhī ho
dilāo hazrat-e-dil tum na yād-e-ḳhatt-e-sabz us kā
kahīñ aisā na ho ye sam hameñ bhī ho tumheñ bhī ho
hamesha chāhtā hai dil ki mil kar kiije mai-noshī
mayassar jām-e-mai-e-jam-jam hameñ bhī ho tumheñ bhī ho
ham apnā 'ishq chamkā.eñ tum apnā husn chamkāo
ki hairāñ dekh kar 'ālam hameñ bhī ho tumheñ bhī ho
rahe hirs-o-havā daa.im 'azīzo saath jab apne
na kyūñkar fikr-e-besh-o-kam hameñ bhī ho tumheñ bhī ho
'zafar' se kahtā hai majnūñ kahīñ dard-e-dil-e-mahzūñ
jo ġham se fursat ab ik dam hameñ bhī ho tumheñ bhī ho
mohabbat chahiye baham hamein bhi ho tumhein bhi ho
KHushi ho is mein ya ho gham hamein bhi ho tumhein bhi ho
ghanimat tum ise samjho ki is KHum-KHane mein yaro
nasib ik-dam dil-e-KHurram hamein bhi ho tumhein bhi ho
dilao hazrat-e-dil tum na yaad-e-KHatt-e-sabz us ka
kahin aisa na ho ye sam hamein bhi ho tumhein bhi ho
hamesha chahta hai dil ki mil kar kije mai-noshi
mayassar jam-e-mai-e-jam-jam hamein bhi ho tumhein bhi ho
hum apna 'ishq chamkaen tum apna husn chamkao
ki hairan dekh kar 'alam hamein bhi ho tumhein bhi ho
rahe hirs-o-hawa daim 'azizo sath jab apne
na kyunkar fikr-e-besh-o-kam hamein bhi ho tumhein bhi ho
'zafar' se kahta hai majnun kahin dard-e-dil-e-mahzun
jo gham se fursat ab ek dam hamein bhi ho tumhein bhi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.