Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat ki duniya mein mashhur kar dun

Akhtar Shirani

mohabbat ki duniya mein mashhur kar dun

Akhtar Shirani

MORE BYAkhtar Shirani

    mohabbat duniyā meñ mash.hūr kar duuñ

    mirī sāda-dil tujh ko maġhrūr kar duuñ

    tire dil ko milne ḳhud aarzū ho

    tujhe is qadar ġham se ranjūr kar duuñ

    mujhe zindagī duur rakhtī hai tujh se

    jo paas ho to use duur kar duuñ

    mohabbat ke iqrār se sharm kab tak

    kabhī sāmnā ho to majbūr kar duuñ

    mire dil meñ hai shola-e-husn raqsāñ

    maiñ chāhūñ to har zarre ko tuur kar duuñ

    ye be-rañgiyāñ kab tak ai husn-e-rañgīñ

    idhar aa tujhe ishq meñ chuur kar duuñ

    gar sāmne ho to maiñ be-ḳhudī meñ

    sitāroñ ko sajde pe majbūr kar duuñ

    siyah-ḳhāna-e-ġham hai saaqī zamāna

    bas ik jaam aur nuur nuur kar duuñ

    nahīñ zindagī ko vafā varna 'aḳhtar'

    mohabbat se duniyā ko māmūr kar duuñ

    mohabbat ki duniya mein mashhur kar dun

    meri sada-dil tujh ko maghrur kar dun

    tere dil ko milne ki KHud aarzu ho

    tujhe is qadar gham se ranjur kar dun

    mujhe zindagi dur rakhti hai tujh se

    jo tu pas ho to use dur kar dun

    mohabbat ke iqrar se sharm kab tak

    kabhi samna ho to majbur kar dun

    mere dil mein hai shola-e-husn raqsan

    main chahun to har zarre ko tur kar dun

    ye be-rangiyan kab tak ai husn-e-rangin

    idhar aa tujhe ishq mein chur kar dun

    tu gar samne ho to main be-KHudi mein

    sitaron ko sajde pe majbur kar dun

    siyah-KHana-e-gham hai saqi zamana

    bas ek jam aur nur hi nur kar dun

    nahin zindagi ko wafa warna 'aKHtar'

    mohabbat se duniya ko mamur kar dun

    RECITATIONS

    Khalid Mubashshir

    Khalid Mubashshir,

    Khalid Mubashshir

    mohabbat ki duniya mein mashhur kar dun Khalid Mubashshir

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now