Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ahl-e-dil jo bhi baat kahte hain

Kaif Moradaabadi

ahl-e-dil jo bhi baat kahte hain

Kaif Moradaabadi

MORE BYKaif Moradaabadi

    ahl-e-dil jo bhī baat kahte haiñ

    koī rāz-e-hayāt kahte haiñ

    un ke ġham se hai jāvedāñ varna

    ziist ko be-sabāt kahte haiñ

    haa.e vo daur-e-ishq jab aañsū

    dāstān-e-hayāt kahte haiñ

    ḳhvāb-e-ġhaflat meñ jo guzartā hai

    ham to us din ko raat kahte haiñ

    ishq istilāh meñ ġham ko

    inqalāb-e-hayāt kahte haiñ

    jo bhī haiñ vāqif-e-haqīqat-e-dil

    dil ko kā.enāt kahte haiñ

    lafz-o-ma.anī meñ aa nahīñ saktī

    vo nazar se jo baat kahte haiñ

    mard-e-haq meñ to mā-sivā ko bhī

    partav-e-husn-e-zāt kahte haiñ

    muddatoñ ġhaur karnā paḌtā hai

    un se jab dil baat kahte haiñ

    kār-gāh-e-nuqūsh-e-ibrat ko

    'kaif' sab kā.enāt kahte haiñ

    ahl-e-dil jo bhi baat kahte hain

    koi raaz-e-hayat kahte hain

    un ke gham se hai jawedan warna

    zist ko be-sabaat kahte hain

    hae wo daur-e-ishq jab aansu

    dastan-e-hayat kahte hain

    KHwab-e-ghaflat mein jo guzarta hai

    hum to us din ko raat kahte hain

    ishq ki istilah mein gham ko

    inqalab-e-hayat kahte hain

    jo bhi hain waqif-e-haqiqat-e-dil

    dil ko hi kaenat kahte hain

    lafz-o-mani mein aa nahin sakti

    wo nazar se jo baat kahte hain

    mard-e-haq mein to ma-siwa ko bhi

    partaw-e-husn-e-zat kahte hain

    muddaton ghaur karna paDta hai

    un se jab dil ki baat kahte hain

    kar-gah-e-nuqush-e-ibrat ko

    'kaif' sab kaenat kahte hain

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now