Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

besan ki saundhi roTi par khaTTi chaTni jaisi man

Nida Fazli

besan ki saundhi roTi par khaTTi chaTni jaisi man

Nida Fazli

MORE BYNida Fazli

    Interesting Fact

    A beautiful emotional poem dedicated to all mothers

    besan sauñdhī roTī par khaTTī chaTnī jaisī maañ

    yaad aatī hai! chaukā bāsan chimTā phuknī jaisī maañ

    baañs kharrī khaaT ke uupar har aahaT par kaan dhare

    aadhī soī aadhī jaagī thakī do-pahrī jaisī maañ

    chiḌiyoñ chahkār meñ gūñje rādhā mohan alī alī

    murġhe āvāz se bajtī ghar kunDī jaisī maañ

    biivī beTī bahan paḌosan thoḌī thoḌī sab meñ

    din bhar ik rassī ke uupar chaltī naTnī jaisī maañ

    baañT ke apnā chehra māthā āñkheñ jaane kahāñ ga.ī

    phaTe purāne ik album meñ chanchal laḌkī jaisī maañ

    besan ki saundhi roTi par khaTTi chaTni jaisi man

    yaad aati hai! chauka basan chimTa phukni jaisi man

    bans ki kharri khaT ke upar har aahaT par kan dhare

    aadhi soi aadhi jagi thaki do-pahri jaisi man

    chiDiyon ki chahkar mein gunje radha mohan ali ali

    murghe ki aawaz se bajti ghar ki kunDi jaisi man

    biwi beTi bahan paDosan thoDi thoDi si sab mein

    din bhar ek rassi ke upar chalti naTni jaisi man

    banT ke apna chehra matha aankhen jaane kahan gai

    phaTe purane ek album mein chanchal laDki jaisi man

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Urdu Studio

    Urdu Studio

    Pankaj Udhas

    Pankaj Udhas

    RECITATIONS

    Nida Fazli

    Nida Fazli,

    Nida Fazli

    besan ki saundhi roTi par khaTTi chaTni jaisi man Nida Fazli

    Source :
    • Book : Sheher Men Gaon (Pg. 381)
    • Author : Nida Fazli
    • Publication : Miar Publications (2012)
    • Edition : 2012

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now