agar bazm-e-hasti mein aurat na hoti
agar bazm-e-hastī meñ aurat na hotī
ḳhayāloñ kī rañgīn jannat na hotī
sitāroñ ke dilkash fasāne na hote
bahāroñ kī nāzuk haqīqat na hotī
jabīnoñ pe nūr-e-masarrat na khiltā
nigāhoñ meñ shān-e-muravvat na hotī
ghaTāoñ kī aamad ko sāvan taraste
fazāoñ meñ bahkī baġhāvat na hotī
faqīroñ ko irfān-e-hastī na miltā
atā zāhidoñ ko ibādat na hotī
musāfir sadā manziloñ par bhaTakte
safīnoñ ko sāhil kī qurbat na hotī
har ik phuul kā rang phīkā sā rahtā
nasīm-e-bahārāñ meñ nik.hat na hotī
ḳhudā.ī kā insāf ḳhāmosh rahtā
sunā hai kisī kī shafā.at na hotī
agar bazm-e-hasti mein aurat na hoti
KHayalon ki rangin jannat na hoti
sitaron ke dilkash fasane na hote
bahaaron ki nazuk haqiqat na hoti
jabinon pe nur-e-masarrat na khilta
nigahon mein shan-e-murawwat na hoti
ghaTaon ki aamad ko sawan taraste
fazaon mein bahki baghawat na hoti
faqiron ko irfan-e-hasti na milta
ata zahidon ko ibaadat na hoti
musafir sada manzilon par bhaTakte
safinon ko sahil ki qurbat na hoti
har ek phul ka rang phika sa rahta
nasim-e-bahaaran mein nikhat na hoti
KHudai ka insaf KHamosh rahta
suna hai kisi ki shafaat na hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.