Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baDhe chalo ki zamane ko ye dikhana hai

Kaif Moradaabadi

baDhe chalo ki zamane ko ye dikhana hai

Kaif Moradaabadi

MORE BYKaif Moradaabadi

    baḌhe chalo ki zamāne ko ye dikhānā hai

    jahāñ hamāre qadam haiñ vahīñ zamāna hai

    ye husn-o-ishq tafrīq ik bahāna hai

    kahīñ nazar ko kahīñ dil ko āzmānā hai

    ab is junūn-e-talab koī Thikāna hai

    ki apne aap ko kho kar bhī un ko paanā hai

    bas ek ishq aisā sharāb-ḳhāna hai

    jahāñ surūr mafhūm hosh aanā hai

    ilāhī tamkanat-e-husn-o-nāz-e-husn ḳhair

    kuchh aaj ishq andāz vālihāna hai

    maiñ har gunāh haqīqat batā to duuñ sar-e-hashr

    magar unheñ jo har ilzām se bachānā hai

    zarā junūn-e-tamannā se dil guzar jaa.e

    phir is ke baad koī daam hai na daana hai

    maiñ jāntā huuñ jo hai farq-e-zāt-o-partav-e-zāt

    mirī nigāh pas-e-parda-e-zamāna hai

    kise nasīb ho sajda ye aur baat hai 'kaif'

    har ik jabīñ ke qarīb un āstāna hai

    baDhe chalo ki zamane ko ye dikhana hai

    jahan hamare qadam hain wahin zamana hai

    ye husn-o-ishq ki tafriq ek bahana hai

    kahin nazar ko kahin dil ko aazmana hai

    ab is junun-e-talab ka koi Thikana hai

    ki apne aap ko kho kar bhi un ko pana hai

    bas ek ishq hi aisa sharab-KHana hai

    jahan surur ka mafhum hosh aana hai

    ilahi tamkanat-e-husn-o-naz-e-husn ki KHair

    kuchh aaj ishq ka andaz walihana hai

    main har gunah ki haqiqat bata to dun sar-e-hashr

    magar unhen jo har ilzam se bachana hai

    zara junun-e-tamanna se dil guzar jae

    phir is ke baad koi dam hai na dana hai

    main jaanta hun jo hai farq-e-zat-o-partaw-e-zat

    meri nigah pas-e-parda-e-zamana hai

    kise nasib ho sajda ye aur baat hai 'kaif'

    har ek jabin ke qarib un ka aastana hai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now