manzilen lakh kaThin aaen guzar jaunga
manzileñ laakh kaThin aa.eñ guzar jā.ūñgā
hausla haar ke baiThūñgā to mar jā.ūñgā
chal rahe the jo mere saath kahāñ haiñ vo log
jo ye kahte the ki raste meñ bikhar jā.ūñgā
dar-ba-dar hone se pahle kabhī sochā bhī na thā
ghar mujhe raas na aayā to kidhar jā.ūñgā
yaad rakkhe mujhe duniyā tirī tasvīr ke saath
rañg aise tirī tasvīr meñ bhar jā.ūñgā
laakh rokeñ ye añdhere mirā rasta lekin
maiñ jidhar raushnī jā.egī udhar jā.ūñgā
raas aa.ī na mohabbat mujhe varna 'sāqī'
maiñ ne sochā thā ki har dil meñ utar jā.ūñgā
manzilen lakh kaThin aaen guzar jaunga
hausla haar ke baiThunga to mar jaunga
chal rahe the jo mere sath kahan hain wo log
jo ye kahte the ki raste mein bikhar jaunga
dar-ba-dar hone se pahle kabhi socha bhi na tha
ghar mujhe ras na aaya to kidhar jaunga
yaad rakkhe mujhe duniya teri taswir ke sath
rang aise teri taswir mein bhar jaunga
lakh roken ye andhere mera rasta lekin
main jidhar raushni jaegi udhar jaunga
ras aai na mohabbat mujhe warna 'saqi'
main ne socha tha ki har dil mein utar jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.