tahrīk-e-ġham-o-ālām to hai taskīn-e-dil-e-nākām nahīñ
kahne ko to duniyā hai lekin duniyā meñ kahīñ ārām nahīñ
rūdād-e-mohabbat ke sadqe rūdād-e-mohabbat kyā kahiye
ye aisā fasāna hai jis kā āġhāz to hai anjām nahīñ
tafsīr-e-hadīs-e-ulfat ko nā-vāqif-e-ulfat kyā jaane
ye biite dinoñ kī bāteñ haiñ afsāna-e-sub.h-o-shām nahīñ
itnā to Thahar ai girya-e-ġham kar lene de mashq-e-zabt-e-alam
umḌe hue aañsū pī jaanā har ek ke bas kā kaam nahīñ
kyoñ pā-e-nazar meñ laġhzish hai kyoñ dast-e-talab tharrāte haiñ
rindoñ ko ye kaisā aalam hai gardish meñ abhī to jaam nahīñ
ham ahl-e-mohabbat ke dil par ma.alūm nahīñ kyā biit ga.ī
āñkhoñ meñ to aañsū milte haiñ hoñToñ pe hañsī kā naam nahīñ
jo un kī nazar ne baḳhshā hai tum kyā samjho tum kyā jaano
us dard ko ai duniyā vaalo jis dard kī lazzat aam nahīñ
vo jaam ki jis ke piine se rindoñ kā muqaddar jaag uThe
saaqī kī qasam maiḳhāne meñ aisā to koī bhī jaam nahīñ
qismat kā kuchh is meñ daḳhl nahīñ sīrat hai 'kamāl' apnī apnī
maiñ laakh pareshāñ huuñ lekin ḳhud-dārī par ilzām nahīñ
tahrik-e-gham-o-alam to hai taskin-e-dil-e-nakaam nahin
kahne ko to duniya hai lekin duniya mein kahin aaram nahin
rudad-e-mohabbat ke sadqe rudad-e-mohabbat kya kahiye
ye aisa fasana hai jis ka aaghaz to hai anjam nahin
tafsir-e-hadis-e-ulfat ko na-waqif-e-ulfat kya jaane
ye bite dinon ki baaten hain afsana-e-subh-o-sham nahin
itna to Thahar ai girya-e-gham kar lene de mashq-e-zabt-e-alam
umDe hue aansu pi jaana har ek ke bas ka kaam nahin
kyon pa-e-nazar mein laghzish hai kyon dast-e-talab tharraate hain
rindon ko ye kaisa aalam hai gardish mein abhi to jam nahin
hum ahl-e-mohabbat ke dil par malum nahin kya bit gai
aankhon mein to aansu milte hain honTon pe hansi ka nam nahin
jo un ki nazar ne baKHsha hai tum kya samjho tum kya jaano
us dard ko ai duniya walo jis dard ki lazzat aam nahin
wo jam ki jis ke pine se rindon ka muqaddar jag uThe
saqi ki qasam maiKHane mein aisa to koi bhi jam nahin
qismat ka kuchh is mein daKHl nahin sirat hai 'kamal' apni apni
main lakh pareshan hun lekin KHud-dari par ilzam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.