mujhe bhi sahni paDegi muKhaalifat apni
mujhe bhī sahnī paḌegī muḳhālifat apnī
jo khul ga.ī kabhī mujh par munāfiqat apnī
maiñ ḳhud se mil ke kabhī saaf saaf kah dūñgā
mujhe pasand nahīñ hai mudāḳhalat apnī
maiñ sharmsār huā apne aap se phir bhī
qubūl kī hī nahīñ maiñ ne ma.azarat apnī
zamāne se to mirā kuchh gila nahīñ bantā
ki mujh se merā ta.alluq thā ma.arifat apnī
ḳhabar nahīñ abhī duniyā ko mere sānehe kī
so apne aap se kartā huuñ ta.aziyat apnī
mujhe bhi sahni paDegi muKHalifat apni
jo khul gai kabhi mujh par munafiqat apni
main KHud se mil ke kabhi saf saf kah dunga
mujhe pasand nahin hai mudaKHalat apni
main sharmsar hua apne aap se phir bhi
qubul ki hi nahin main ne mazarat apni
zamane se to mera kuchh gila nahin banta
ki mujh se mera talluq tha marifat apni
KHabar nahin abhi duniya ko mere sanehe ki
so apne aap se karta hun taziyat apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.