mujhe KHud se bhi khaTka sa laga tha
mujhe ḳhud se bhī khaTkā sā lagā thā
mire andar bhī ik pahrā lagā thā
abhī āsār se baaqī haiñ dil meñ
kabhī is shahr meñ mela lagā thā
judā hogī kasak dil se na us kī
judā hote hue achchhā lagā thā
ikaTThe ho ga.e the phuul kitne
vo chehra ek bāġhīcha lagā thā
piye jaatā thā 'anvar' āñsuoñ ko
ajab us shaḳhs ko chaskā lagā thā
mujhe KHud se bhi khaTka sa laga tha
mere andar bhi ek pahra laga tha
abhi aasar se baqi hain dil mein
kabhi is shahr mein mela laga tha
juda hogi kasak dil se na us ki
juda hote hue achchha laga tha
ikaTThe ho gae the phul kitne
wo chehra ek baghicha laga tha
piye jata tha 'anwar' aansuon ko
ajab us shaKHs ko chaska laga tha
- Book : ik daraicha ik chirag (Pg. 92)
- Author : ANWAR MASOOD
- Publication : Dost Publications (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.