Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe kisi ne bataya KHuda hai mere sath

Abdurrahman momin

mujhe kisi ne bataya KHuda hai mere sath

Abdurrahman momin

MORE BYAbdurrahman momin

    mujhe kisī ne batāyā ḳhudā hai mere saath

    maiñ kyā batā.ūñ use aur kyā hai mere saath

    tujhe yaqīñ nahīñ aa.egā par haqīqat hai

    ye nahīñ hai koī dūsrā hai mere saath

    ye mushkilāt bhī ab mere saath rahtī haiñ

    ye jāntī haiñ ki mushkil-kushā hai mere saath

    maiñ kyā batā.ūñ tujhe yaad kyā dilā.ūñ tujhe

    jāntā hai jo ne kiyā hai mere saath

    agar vafā ko batā.ūñ vafā bhī chīḳh paḌe

    vafā ke naam pe jo kuchh huā hai mere saath

    sitam to ye hai ki maiñ ne use bhī chhoḌ diyā

    jo sab ko chhoḌ ke tanhā khaḌā hai mere saath

    kisī se koī shikāyat nahīñ mujhe 'momin'

    jo honā chāhiye vo ho rahā hai mere saath

    mujhe kisi ne bataya KHuda hai mere sath

    main kya bataun use aur kya hai mere sath

    tujhe yaqin nahin aaega par haqiqat hai

    ye tu nahin hai koi dusra hai mere sath

    ye mushkilat bhi ab mere sath rahti hain

    ye jaanti hain ki mushkil-kusha hai mere sath

    main kya bataun tujhe yaad kya dilaun tujhe

    tu jaanta hai jo tu ne kiya hai mere sath

    agar wafa ko bataun wafa bhi chiKH paDe

    wafa ke nam pe jo kuchh hua hai mere sath

    sitam to ye hai ki main ne use bhi chhoD diya

    jo sab ko chhoD ke tanha khaDa hai mere sath

    kisi se koi shikayat nahin mujhe 'momin'

    jo hona chahiye wo ho raha hai mere sath

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now