Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe mehman hi jaano raat bhar ka

Umar Ansari

mujhe mehman hi jaano raat bhar ka

Umar Ansari

mujhe mehmāñ jaano raat bhar

diyā huuñ dostoñ meñ rahguzar

sunā.ūñ kyā ki tūlānī bahut hai

fasāna merī umr-e-muḳhtasar

chaleñ kah do havāoñ se sambhal ke

bharā rakkhā hai sāġhar chashm-e-tar

chale jo dhuup meñ manzil thī un

hameñ to khā gayā saaya shajar

haTā.e kuchh to patthar Thokaroñ ne

huā to saaf kuchh rasta safar

jise duniyā ne bas aañsū jaanā

farastāda thā ik dil ke nagar

ġhamoñ meñ kis ko maiñ hañsnā sikhā.ūñ

mile bhī qadr-dāñ koī hunar

yahāñ to fātah-e-ālam vahī hai

badalnā jis ko aa jaa.e nazar

nifāq-e-bāhamī hai jo abhī tak

khaḌā hai rāsta roke 'umar'

mujhe mehman hi jaano raat bhar ka

diya hun doston mein rahguzar ka

sunaun kya ki tulani bahut hai

fasana meri umr-e-muKHtasar ka

chalen kah do hawaon se sambhal ke

bhara rakkha hai saghar chashm-e-tar ka

chale jo dhup mein manzil thi un ki

hamein to kha gaya saya shajar ka

haTae kuchh to patthar Thokaron ne

hua to saf kuchh rasta safar ka

jise duniya ne bas aansu hi jaana

farastada tha ek dil ke nagar ka

ghamon mein kis ko main hansna sikhaun

mile bhi qadr-dan koi hunar ka

yahan to fatah-e-alam wahi hai

badalna jis ko aa jae nazar ka

nifaq-e-bahami hai jo abhi tak

khaDa hai rasta roke 'umar' ka

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now