Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

usne kaha hasti teri maine kaha jalwa tera

Taufeeq Hyderabadi

usne kaha hasti teri maine kaha jalwa tera

Taufeeq Hyderabadi

us ne kahā hastī tirī maiñ ne kahā jalvā tirā

us ne kahā phir nīstī maiñ ne kahā pardā tirā

us ne kahā jaanā mirā maiñ ne kahā merī ajal

us ne kahā phir zindagī maiñ ne kahā aanā tirā

us ne kahā shām-e-balā maiñ ne kahā gesū tire

us ne kahā sub.h-e-safā maiñ ne kahā chehrā tirā

us ne kahā bārān-e-ġham maiñ ne kahā ronā mirā

us ne kahā barq-e-sitam maiñ ne kahā hañsnā tirā

us ne kahā kaun hai maiñ ne kahā naqsh-e-qadam

us ne kahā manzil tirī maiñ ne kahā kūcha tirā

us ne kahā kyā kaam hai maiñ ne kahā ḳhidmat tirī

us ne kahā kyā naam hai maiñ ne kahā bandā tirā

us ne kahā dil le gayā maiñ ne kahā haañ le gayā

us ne kahā vo kaun thā maiñ ne kahā ġhamza tirā

us ne kahā kyā dil meñ hai maiñ ne kahā ulfat tirī

us ne kahā kyā sar meñ hai maiñ ne kahā saudā tirā

us ne kahā kis se gila maiñ ne kahā taqdīr se

us ne kahā taqdīr kyā maiñ ne kahā manshā tirā

us ne kahā shab kaun thā maiñ ne kahā 'taufīq' thā

us ne kahā vo kaun hai maiñ ne kahā shaidā tirā

us ne kaha hasti teri main ne kaha jalwa tera

us ne kaha phir nisti main ne kaha parda tera

us ne kaha jaana mera main ne kaha meri ajal

us ne kaha phir zindagi main ne kaha aana tera

us ne kaha sham-e-bala main ne kaha gesu tere

us ne kaha subh-e-safa main ne kaha chehra tera

us ne kaha baran-e-gham main ne kaha rona mera

us ne kaha barq-e-sitam main ne kaha hansna tera

us ne kaha tu kaun hai main ne kaha naqsh-e-qadam

us ne kaha manzil teri main ne kaha kucha tera

us ne kaha kya kaam hai main ne kaha KHidmat teri

us ne kaha kya nam hai main ne kaha banda tera

us ne kaha dil le gaya main ne kaha han le gaya

us ne kaha wo kaun tha main ne kaha ghamza tera

us ne kaha kya dil mein hai main ne kaha ulfat teri

us ne kaha kya sar mein hai main ne kaha sauda tera

us ne kaha kis se gila main ne kaha taqdir se

us ne kaha taqdir kya main ne kaha mansha tera

us ne kaha shab kaun tha main ne kaha 'taufiq' tha

us ne kaha wo kaun hai main ne kaha shaida tera

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now