munafiqat ka nisab paDh kar mohabbaton ki kitab likhna
munāfiqat kā nisāb paḌh kar mohabbatoñ kī kitāb likhnā
bahut kaThin hai ḳhizāñ ke māthe pe dāstān-e-gulāb likhnā
maiñ jab chalūñgā to regzāroñ meñ ulfatoñ ke kañval khileñge
hazār tum mere rāstoñ meñ mohabbatoñ ke sarāb likhnā
firāq mausam kī chilmanoñ se visāl lamhe chamak uTheñge
udaas shāmoñ meñ kāġhaz-e-dil pe guzre vaqtoñ ke baab likhnā
vo merī ḳhvāhish kī lauh-e-tishna pe zindagī ke savāl ubharnā
vo us kā harf-e-karam se apne qubūliyat ke javāb likhnā
ga.e zamānoñ kī dard kajlā.ī bhūlī bisrī kitāb paḌh kar
jo ho sake tum se aane vaale dinoñ ke rañgīn ḳhvāb likhnā
munafiqat ka nisab paDh kar mohabbaton ki kitab likhna
bahut kaThin hai KHizan ke mathe pe dastan-e-gulab likhna
main jab chalunga to regzaron mein ulfaton ke kanwal khilenge
hazar tum mere raston mein mohabbaton ke sarab likhna
firaq mausam ki chilmanon se visal lamhe chamak uThenge
udas shamon mein kaghaz-e-dil pe guzre waqton ke bab likhna
wo meri KHwahish ki lauh-e-tishna pe zindagi ke sawal ubharna
wo us ka harf-e-karam se apne qubuliyat ke jawab likhna
gae zamanon ki dard kajlai bhuli bisri kitab paDh kar
jo ho sake tum se aane wale dinon ke rangin KHwab likhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.